hawa ek qalam hai
maiñ ne havāoñ kā giit sunñā chāhā
magar sun na sakā
gīt-bāzārī bhāv-tāv se katrāte haiñ
aur yahāñ vahshat-zada āvāzoñ meñ se
tarannum kī alaihadgī kā koī bandobast nahīñ
jab maiñ soyā huā thā
havā bhūke bachchoñ kī lorī ban ga.ī thī
maiñ havā ko mo.attar mahsūs karnā chāhtā huuñ
magar ye hamesha
jhulsī huī lāsheñ DhūñD letī hai
ye taptī huī lau meñ
aur sardiyoñ kī udaas ThiThurtī huī shaam ko
logoñ ke phaTe hue kapḌoñ meñ ghus jaatī hai
havā ek behtarīn ḳhatīb hai
jab ham
garm yā sard hone lageñ
ye taqdīr ke alfāz ban kar
hamāre kānoñ meñ chhup jaatī hai
havā ek qalam hai
jo purānī kahānī meñ har roz na.e kirdār gaaḌ detā hai
main ne hawaon ka git sunna chaha
magar sun na saka
git-bazari bhaw-taw se katraate hain
aur yahan wahshat-zada aawazon mein se
tarannum ki alaihadgi ka koi bandobast nahin
jab main soya hua tha
hawa bhuke bachchon ki lori ban gai thi
main hawa ko moattar mahsus karna chahta hun
magar ye hamesha
jhulsi hui lashen DhunD leti hai
ye tapti hui lau mein
aur sardiyon ki udas ThiThurti hui sham ko
logon ke phaTe hue kapDon mein ghus jati hai
hawa ek behtarin KHatib hai
jab hum
garm ya sard hone lagen
ye taqdir ke alfaz ban kar
hamare kanon mein chhup jati hai
hawa ek qalam hai
jo purani kahani mein har roz nae kirdar gaD deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.