hawa shaKHon mein bas kar rah gai hai
mire ghar ke dar-o-dīvār par
kab dhuup utrī thī
kahāñ mausam kahānī likh rahā thā
ḳhvāb lagtā hai
fazā meñ
chaar jānib ḳhāmushī ke dā.ere haiñ
aur maiñ
bezār chehroñ ke hujūm-e-be-tamāshā meñ khaḌā
mahkūm sāñseñ gin rahā huuñ
parinde
ghoñsloñ meñ ghar badalne kī ḳhvāhish sah rahe haiñ
ġhubār-ālūda āñkhoñ meñ
koī manzar
koī TuuTā huā pattā
koī ashk-e-du'ā
sab ḳhvāb lagtā hai
havā shāḳhoñ meñ bas kar rah ga.ī hai
mere ghar ke dar-o-diwar par
kab dhup utri thi
kahan mausam kahani likh raha tha
KHwab lagta hai
faza mein
chaar jaanib KHamushi ke daere hain
aur main
bezar chehron ke hujum-e-be-tamasha mein khaDa
mahkum sansen gin raha hun
parinde
ghonslon mein ghar badalne ki KHwahish sah rahe hain
ghubar-aluda aankhon mein
koi manzar
koi TuTa hua patta
koi ashk-e-du'a
sab KHwab lagta hai
hawa shaKHon mein bas kar rah gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.