hawaen git gati hain
havā.eñ giit gaatī haiñ
badalte mausamoñ ke anginat qisse sunātī haiñ
shajar se zard pattoñ ko girā kar muskurātī haiñ
havā.eñ giit gaatī haiñ
thake haare musāfir shaam Dhalte hī
kisī sahrā meñ jab apnā paḌāv Daal dete haiñ
to sahrā kī havā.eñ
har musāfir kā sandesa le ke aatī haiñ
unheñ jā kar sunātī haiñ
jo apne ghar kī chaukhaT par
kisī kī raah takte haiñ
jo aksar shaam Dhalte hī
charāġh-e-dil muñDeroñ par jalāte haiñ
kisī ke lauT aane kī tamannā meñ
baḌe sadme uThāte haiñ
havā.eñ be-yaqīn un muntazir āñkhoñ ko jab chhū kar guzartī haiñ
to un meñ e'tibār aur ārzūoñ ke sitāre jhilmilātī haiñ
havā.eñ giit gaatī haiñ
hawaen git gati hain
badalte mausamon ke anginat qisse sunati hain
shajar se zard patton ko gira kar muskuraati hain
hawaen git gati hain
thake haare musafir sham Dhalte hi
kisi sahra mein jab apna paDaw Dal dete hain
to sahra ki hawaen
har musafir ka sandesa le ke aati hain
unhen ja kar sunati hain
jo apne ghar ki chaukhaT par
kisi ki rah takte hain
jo aksar sham Dhalte hi
charagh-e-dil munDeron par jalate hain
kisi ke lauT aane ki tamanna mein
baDe sadme uThate hain
hawaen be-yaqin un muntazir aankhon ko jab chhu kar guzarti hain
to un mein e'tibar aur aarzuon ke sitare jhilmilati hain
hawaen git gati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.