mausam koī sā bhī ho
bahut zard dopahroñ vaalā
bahut kaalā bhīge añdheroñ vaalā
havā.eñ jab bhī chaltī haiñ
yādoñ kī gard uḌātī haiñ
lamhe uḌ kar
vaqt ko vāpas laatī haiñ
sansanātī aah bhartī
vīrānoñ meñ
idhar se udhar
mañDlātī haiñ
yādeñ gungunātī haiñ
aur jab bārish aatī haiñ
dukh bhī bhiig jaate haiñ
zaḳhm taaza hote haiñ
bhīge dukh taklīf dete haiñ
zaḳhm riste rahte haiñ
havā.eñ jab bhī chaltī haiñ
mausam koi sa bhi ho
bahut zard dopahron wala
bahut kala bhige andheron wala
hawaen jab bhi chalti hain
yaadon ki gard uDati hain
lamhe uD kar
waqt ko wapas lati hain
sansanati aah bharti
viranon mein
idhar se udhar
manDlati hain
yaaden gungunati hain
aur jab barish aati hain
dukh bhi bhig jate hain
zaKHm taza hote hain
bhige dukh taklif dete hain
zaKHm riste rahte hain
hawaen jab bhi chalti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.