hawalat
phūloñ vaale baaġh meñ baiTh kar
ek baḌā sā piñjra dekhā
jis meñ kuchh insān bhare the
piilī rañgat
vahshī āñkheñ
bikhre bāloñ vaale insāñ
chhoTe se is tañg pinjre meñ
kuchh baiThe the kuchh leTe the
lekin sab kuchh soch rahe the
shāyad apnī apnī sazā.eñ
yā phir apne apne jarā.em
yā un logoñ ke baare meñ
jo pinjre se bāhar baiThe
āzādī par nāzāñ the
phulon wale bagh mein baiTh kar
ek baDa sa pinjra dekha
jis mein kuchh insan bhare the
pili rangat
wahshi aankhen
bikhre baalon wale insan
chhoTe se is tang pinjre mein
kuchh baiThe the kuchh leTe the
lekin sab kuchh soch rahe the
shayad apni apni sazaen
ya phir apne apne jaraem
ya un logon ke bare mein
jo pinjre se bahar baiThe
aazadi par nazan the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.