hawwa ki beTi
shiddat-e-iflās se jab zindagī thī tujh pe tañg
ishtihā ke saath thī jab ġhairat o ismat kī jañg
ghaat meñ terī rahā ye ḳhud-ġharaz sarmāya-dār
kheltā hai jo barābar nau-e-insāñ kā shikār
rafta rafta luuT lī terī matā-e-ābrū
ḳhuub chūsā terī rag rag se javānī kā lahū
khelte haiñ aaj bhī tujh se yahī sarmāya-dār
ye tamaddun ke ḳhudā tahzīb ke parvardigār
sāmne duniyā ke tuf karte haiñ tere naam par
ḳhalvatoñ meñ jo tire qadmoñ pe rakh dete haiñ sar
rāste meñ din ko le sakte nahīñ terā salām
raat ko jo tere hāthoñ se chaḌhā jaate haiñ jaam
tere kūcha se jinheñ ho kar guzarnā hai gunāh
garm un kī saañs se rahtī hai terī ḳhvāb-gāh
mahfiloñ meñ tujh se kar sakte nahīñ jo guftugū
tere āñchal meñ bañdhī hai un kī jhūTī aabrū
peT kī ḳhātir agar tū bechtī hai jism aaj
kaun hai nafrat se tujh ko dekhne vaalā samāj
shiddat-e-iflas se jab zindagi thi tujh pe tang
ishtiha ke sath thi jab ghairat o ismat ki jang
ghat mein teri raha ye KHud-gharaz sarmaya-dar
khelta hai jo barabar nau-e-insan ka shikar
rafta rafta luT li teri mata-e-abru
KHub chusa teri rag rag se jawani ka lahu
khelte hain aaj bhi tujh se yahi sarmaya-dar
ye tamaddun ke KHuda tahzib ke parwardigar
samne duniya ke tuf karte hain tere nam par
KHalwaton mein jo tere qadmon pe rakh dete hain sar
raste mein din ko le sakte nahin tera salam
raat ko jo tere hathon se chaDha jate hain jam
tere kucha se jinhen ho kar guzarna hai gunah
garm un ki sans se rahti hai teri KHwab-gah
mahfilon mein tujh se kar sakte nahin jo guftugu
tere aanchal mein bandhi hai un ki jhuTi aabru
peT ki KHatir agar tu bechti hai jism aaj
kaun hai nafrat se tujh ko dekhne wala samaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.