hawwa ki beTi
suno aisā bhī kabhī hotā hai kyā
ki chhe rātoñ pe ek khiḌkī se
tiin mausam utre hoñ
aur sātveñ din kī bhārī raat meñ
āsmānī balā.eñ
kā.enāt ke mukammal hone ke dukh meñ
shab-e-hijr manātī hoñ
chhe din ḳhudā ne merī miTTī ko gūñdhā
aur sātvīñ raat mujhe
saañs phūñk kar duniyā ke havāle kar diyā gayā
duniyā jis meñ saat rang qaus-o-quzah ke
aur āTHvāñ rang bahār
bhañvaroñ ke nathunoñ se ho kar
zahrīlā ras banāte haiñ
jo mohabbat ke naam par
fursat kī ḳhālī shīshiyoñ meñ
bhar bhar kar muft bāñTā jaatā hai
ras bhare jhūToñ kā zā.iqa chakh chakh kar
sach mere vajūd meñ matlī kī tarah tairtā hai
jab bhī yuuñ hī khiḌkī se mausam utarte haiñ
mere jism se soñdhī miTTī kī ḳhushbū uThtī rahtī hai
aur har chhaTe din kī sātveñ raat kā
tavāf mukammal hone par
hijr merī āñkhoñ ko chuum chuum kar
sang-e-siyāh banā detā hai
bolo aisā bhī kabhī hotā hai kyā
ki patthar āñkhoñ se
kāñch kī khiḌkī ke paar
utarte mausamoñ kī badaltī rutoñ ko dekhā jā sake
to kyuuñ na phir āfāqī balāoñ kī saf meñ sharīk ho kar
kā.enātī shab-e-hijrāñ kā abadī mātam manāyā jaa.e
suno aisa bhi kabhi hota hai kya
ki chhe raaton pe ek khiDki se
tin mausam utre hon
aur satwen din ki bhaari raat mein
aasmani balaen
kaenat ke mukammal hone ke dukh mein
shab-e-hijr manati hon
chhe din KHuda ne meri miTTi ko gundha
aur satwin raat mujhe
sans phunk kar duniya ke hawale kar diya gaya
duniya jis mein sat rang qaus-o-quzah ke
aur aaTHwan rang bahaar
bhanwaron ke nathunon se ho kar
zahrila ras banate hain
jo mohabbat ke nam par
fursat ki KHali shishiyon mein
bhar bhar kar muft banTa jata hai
ras bhare jhuTon ka zaiqa chakh chakh kar
sach mere wajud mein matli ki tarah tairta hai
jab bhi yun hi khiDki se mausam utarte hain
mere jism se sondhi miTTi ki KHushbu uThti rahti hai
aur har chhaTe din ki satwen raat ka
tawaf mukammal hone par
hijr meri aankhon ko chum chum kar
sang-e-siyah bana deta hai
bolo aisa bhi kabhi hota hai kya
ki patthar aankhon se
kanch ki khiDki ke par
utarte mausamon ki badalti ruton ko dekha ja sake
to kyun na phir aafaqi balaon ki saf mein sharik ho kar
kaenati shab-e-hijran ka abadi matam manaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.