hayule
samundaroñ ke muhīb tūfāñ mere azā.em ke sāhiloñ se shikast khā kar palaT chuke haiñ
maiñ kohsāroñ kī hastiyoñ se bhī āsmāñ kā vaqār ban kar ulajh chukā huuñ
maiñ jañgaloñ kī havāoñ kā zor toḌ detā rahā huuñ apne nafas kī shorīda satvatoñ se
mire tafakkur kī garm-raftāriyoñ se larzāñ rahe haiñ sahrāoñ ke bagūle
ye zikr hai us tavīl maazī kā maiñ akelā thā is bharī kā.enāt meñ jab
faqat mirī jāñ-gudāz tanhā.ī saaya ban kar thī saath mere
maiñ un dinoñ sochtā thā merā vajūd ā.īna-dār tāb-o-tavāñ hai jis ko
zavāl-e-āmādgī se nisbat nahīñ hai koī
aur aaj jab ki ye mere bachche
jinheñ zamāne kī aañkh ne mere dast-o-bāzū kā ruup samjhā
mirī tavānā.iyoñ ke markaz kā aks jaanā
mire rag-o-pai meñ ek ehsās-e-ḳhauf har-dam ubhārte haiñ
to sochtā huuñ
maiñ kitnā kamzor ho gayā huuñ
havā kā ik nā-tavāñ sā jhoñkā bhī un ke pahlū se jab guzartā hai
laakh andeshe jaag uThte haiñ mere dil meñ
ajiib tashvīsh gher letī hai jism-o-jāñ kī tamām tābinda vus.atoñ ko
maiñ apne bachchoñ ko apnī quvvat kahūñ ki be-himmatī kā maz.har
samundaron ke muhib tufan mere azaem ke sahilon se shikast kha kar palaT chuke hain
main kohsaron ki hastiyon se bhi aasman ka waqar ban kar ulajh chuka hun
main jangalon ki hawaon ka zor toD deta raha hun apne nafas ki shorida satwaton se
mere tafakkur ki garm-raftariyon se larzan rahe hain sahraon ke bagule
ye zikr hai us tawil mazi ka main akela tha is bhari kaenat mein jab
faqat meri jaan-gudaz tanhai saya ban kar thi sath mere
main un dinon sochta tha mera wajud aaina-dar tab-o-tawan hai jis ko
zawal-e-amadgi se nisbat nahin hai koi
aur aaj jab ki ye mere bachche
jinhen zamane ki aankh ne mere dast-o-bazu ka rup samjha
meri tawanaiyon ke markaz ka aks jaana
mere rag-o-pai mein ek ehsas-e-KHauf har-dam ubhaarte hain
to sochta hun
main kitna kamzor ho gaya hun
hawa ka ek na-tawan sa jhonka bhi un ke pahlu se jab guzarta hai
lakh andeshe jag uThte hain mere dil mein
ajib tashwish gher leti hai jism-o-jaan ki tamam tabinda wusaton ko
main apne bachchon ko apni quwwat kahun ki be-himmati ka mazhar
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-277 p-265)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.