hazrat amir KHusraw ki nazm ka taKHliqi tarjuma
maiñ ne jab pūchhā ki raushan chāñd se baḌh kar hai kyā
naaz se bolā vo but chehra mirā chehra mirā
maiñ ne pūchhā kis kī koyal se bhī mīThī hai navā
us ne da.ave se kahā merā galā merā galā
maiñ ne pūchhā pyaar karne vāloñ kā sheva hai kyā
chīḳh kar us ne kahā pās-e-vafā pās-e-vafā
maiñ ne pūchhā mujh pe kyoñ karte ho yuuñ jaur-o-jafā
hañs ke bolā vo sanam merī razā merī razā
maiñ ne pūchhā maut se baḌh kar bhalā hai kyā balā
jhaT se bolā mujh se mere yaar kā honā judā
maiñ ne pūchhā zindagī ke dard kī kyā hai davā
us ne shoḳhī se kahā jalva mirā jalvā mirā
maiñ ne pūchhā huur ho jannat kī yā koī parī
vo sanam kahne lagā maiñ huuñ butoñ kā bādshāh
zikr ḳhusrau nā-tavāñ kā jab kiyā kahne lagā
vo to kartā hai mujhe sajda sadā sajda sadā
main ne jab puchha ki raushan chand se baDh kar hai kya
naz se bola wo but chehra mera chehra mera
main ne puchha kis ki koyal se bhi miThi hai nawa
us ne dawe se kaha mera gala mera gala
main ne puchha pyar karne walon ka shewa hai kya
chiKH kar us ne kaha pas-e-wafa pas-e-wafa
main ne puchha mujh pe kyon karte ho yun jaur-o-jafa
hans ke bola wo sanam meri raza meri raza
main ne puchha maut se baDh kar bhala hai kya bala
jhaT se bola mujh se mere yar ka hona juda
main ne puchha zindagi ke dard ki kya hai dawa
us ne shoKHi se kaha jalwa mera jalwa mera
main ne puchha hur ho jannat ki ya koi pari
wo sanam kahne laga main hun buton ka baadshah
zikr KHusrau na-tawan ka jab kiya kahne laga
wo to karta hai mujhe sajda sada sajda sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.