hermaphrodite
us ko shak thā
ḳhudā ne do aadhe jism amūdan joḌ ke
us ko tāmīr kiyā hai
jis meñ ik hissa apnā aur ek parāyā hai
vo aadhe aadhe do jismoñ kā hāsil hai
vo aksar raat ke kaale chehre se Dar jaatā
to apnī hī god meñ chhup kar rone lagtā
ḳhud se bāteñ kartā
dīvāroñ se sar Takrātā
apnī takmīl kī ḳhātir
donoñ aadhe jismoñ ko
bistar par tanhā chhoḌ ke
apne aslī hisse kī talāsh meñ kho jaatā
lekin ḳhālī hāthoñ ko jab
dozaḳh kī jānib laTkā.e vāpas aatā
apnī hī gardan meñ baazū Daale
ḳhud se lipaT kar so jaatā
us ko shak tha
KHuda ne do aadhe jism amudan joD ke
us ko tamir kiya hai
jis mein ek hissa apna aur ek paraya hai
wo aadhe aadhe do jismon ka hasil hai
wo aksar raat ke kale chehre se Dar jata
to apni hi god mein chhup kar rone lagta
KHud se baaten karta
diwaron se sar Takraata
apni takmil ki KHatir
donon aadhe jismon ko
bistar par tanha chhoD ke
apne asli hisse ki talash mein kho jata
lekin KHali hathon ko jab
dozaKH ki jaanib laTkae wapas aata
apni hi gardan mein bazu Dale
KHud se lipaT kar so jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.