hijr aur visal
huuk uThtī hai
jalā detī hai jism-o-jāñ ko
dil laraz uThtā hai
āñkhoñ se dhuāñ uThtā hai
ye dhuāñ
hijr kā tārīk dhuāñ
phailtā jaatā hai
bhar detā hai us vaadī ko
jis ke har goshe meñ
ik naqsh munavvar thā abhī
koī saaya
koī ḳhushbū se mahaktā saaya
mujh ko chhūtā thā
mire dil meñ utartā thā abhī
pairahan merā mahaktā hai
abhī tak
lekin
kaisī tanhā.ī hai
aur dard hai ḳhāmoshī hai
vo jo aa jaa.e to
ye dard bhī āvāz bane
aur soyā huā ye jism
koī saaz bane
an-ginat taar
jhanak jaa.eñ jhanakte hī raheñ
jal uTheñ chāñd ka.ī
zehn ke parde pe abhī
aur andar ke samundar meñ bhañvar paḌ jaa.eñ
phir se khīñcheñ hameñ ik baar
usī shiddat se
ek mādūm se
tārīk se nuqte kī taraf
vahī nuqta jise jaanā bhī to
an-jānā rahā
huk uThti hai
jala deti hai jism-o-jaan ko
dil laraz uThta hai
aankhon se dhuan uThta hai
ye dhuan
hijr ka tarik dhuan
phailta jata hai
bhar deta hai us wadi ko
jis ke har goshe mein
ek naqsh munawwar tha abhi
koi saya
koi KHushbu se mahakta saya
mujh ko chhuta tha
mere dil mein utarta tha abhi
pairahan mera mahakta hai
abhi tak
lekin
kaisi tanhai hai
aur dard hai KHamoshi hai
wo jo aa jae to
ye dard bhi aawaz bane
aur soya hua ye jism
koi saz bane
an-ginat tar
jhanak jaen jhanakte hi rahen
jal uThen chand kai
zehn ke parde pe abhi
aur andar ke samundar mein bhanwar paD jaen
phir se khinchen hamein ek bar
usi shiddat se
ek madum se
tarik se nuqte ki taraf
wahi nuqta jise jaana bhi to
an-jaana raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.