hijr ki andhi raaten
kañpkañpātā sā badan barf sī ThanDī rāteñ
ye qayāmat sī ka.ī muddatoñ lambī rāteñ
ye sulagte hue jazbāt meñ dahkī rāteñ
niim sī kaḌvī karele se kasīlī rāteñ
kitnī zālim haiñ ye tanhā.ī meñ Duubī rāteñ
tum pe utrī haiñ kabhī hijr kī andhī rāteñ
tum pe utrī hī nahīñ hijr kī andhī rāteñ
mahfileñ chup haiñ kabhī chīḳhtī ḳhāmoshī hai
hosh meñ rah ke bhī ik ālam-e-mad.hoshī hai
yaad ke haiñ kabhī nashtar kabhī sargoshī hai
haa.e phailī sī havāsoñ pe bhī be-hoshī hai
hijr ke ḳhauf se haa.e Darī sahmī rāteñ
tum pe utrī haiñ kabhī hijr kī andhī rāteñ
tum pe utrī hī nahīñ hijr kī andhī rāteñ
hai bahārāñ meñ bhī bas ek ḳhizāñ kā mausam
jaan lene pe utārū hai mirī vahshat-e-ġham
ashk dikhte haiñ lahū se bhalā kaisā hai sitam
tum to kyā jaano mire vahshat-e-dil kā aalam
bārish-e-ashk se bhīgī huī giilī rāteñ
tum pe utrī haiñ kabhī hijr kī andhī rāteñ
tum pe utrī hī nahīñ hijr kī andhī rāteñ
ek vo vaqt thā gulshan meñ bahār aa.ī thī
aarzū vaqt ke ghoḌe pe savār aa.ī thī
pairāhan ġham kā ḳhushī pal meñ utaar aa.ī thī
ab ye lagtā hai jo aa.ī thī udhār aa.ī thī
lamha lamha mujhe nāgin sī ye Dastī rāteñ
tum pe utrī haiñ kabhī hijr kī andhī rāteñ
tum pe utrī hī nahīñ hijr kī andhī rāteñ
ek ye vaqt hai bas ālam-e-tanhā.ī hai
gulshan-e-dil pe faqat ġham kī ghaTā chhā.ī hai
haa.e jazbāt kī mayyat pe pazīrā.ī hai
kyā yahī maiñ ne vafāoñ kī jazā paa.ī hai
kuchh bhī suntī hī nahīñ haa.e ye berī rāteñ
tum pe utrī haiñ kabhī hijr kī andhī rāteñ
tum pe utrī hī nahīñ hijr kī andhī rāteñ
kanpkanpata sa badan barf si ThanDi raaten
ye qayamat si kai muddaton lambi raaten
ye sulagte hue jazbaat mein dahki raaten
nim si kaDwi karele se kasili raaten
kitni zalim hain ye tanhai mein Dubi raaten
tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten
tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten
mahfilen chup hain kabhi chiKHti KHamoshi hai
hosh mein rah ke bhi ek aalam-e-madhoshi hai
yaad ke hain kabhi nashtar kabhi sargoshi hai
hae phaili si hawason pe bhi be-hoshi hai
hijr ke KHauf se hae Dari sahmi raaten
tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten
tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten
hai bahaaran mein bhi bas ek KHizan ka mausam
jaan lene pe utaru hai meri wahshat-e-gham
ashk dikhte hain lahu se bhala kaisa hai sitam
tum to kya jaano mere wahshat-e-dil ka aalam
barish-e-ashk se bhigi hui gili raaten
tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten
tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten
ek wo waqt tha gulshan mein bahaar aai thi
aarzu waqt ke ghoDe pe sawar aai thi
pairahan gham ka KHushi pal mein utar aai thi
ab ye lagta hai jo aai thi udhaar aai thi
lamha lamha mujhe nagin si ye Dasti raaten
tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten
tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten
ek ye waqt hai bas aalam-e-tanhai hai
gulshan-e-dil pe faqat gham ki ghaTa chhai hai
hae jazbaat ki mayyat pe pazirai hai
kya yahi main ne wafaon ki jaza pai hai
kuchh bhi sunti hi nahin hae ye beri raaten
tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten
tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.