hijr ki umr baDhi hai
hijr kī umr baḌhī hai to ham un āñkhoñ ko
ab kisī ḳhvāb-nagar meñ nahīñ jaane deñge
ġham se ab dostī kar leñge
ḳhushī ko nahīñ aane deñge
hijr ke vaqt meñ ahvāl shab-o-roz kā kyā pūchhte ho
us meñ saa.at bhī zamānoñ se baḌī hotī hai
din khaḌā hotā hai jallād ke mānind sabhī rātoñ par
raat Daa.in kī tarah
vaqt ke naake meñ aḌī hotī hai
hijr ke saath meñ vo qahr hai
jiinā bhī garāñ aur na jiinā mushkil
hijr ke haath meñ vo zahr hai
piinā bhī muhāl aur na piinā mushkil
hijr darvesh nahīñ
hijr kam-andesh nahīñ
hijr nahīñ pīr-e-muġhāñ
hijr ayyār hai
duniyā kā talabgār hai
ab tak hai javāñ
hijr kī umr baḌhī hai to chalo ham ḳhud hī
naqsh sab dil se miTā dete haiñ
haath jiine se uThā lete haiñ
hijr ki umr baDhi hai to hum un aankhon ko
ab kisi KHwab-nagar mein nahin jaane denge
gham se ab dosti kar lenge
KHushi ko nahin aane denge
hijr ke waqt mein ahwal shab-o-roz ka kya puchhte ho
us mein saat bhi zamanon se baDi hoti hai
din khaDa hota hai jallad ke manind sabhi raaton par
raat Dain ki tarah
waqt ke nake mein aDi hoti hai
hijr ke sath mein wo qahr hai
jina bhi garan aur na jina mushkil
hijr ke hath mein wo zahr hai
pina bhi muhaal aur na pina mushkil
hijr darwesh nahin
hijr kam-andesh nahin
hijr nahin pir-e-mughan
hijr ayyar hai
duniya ka talabgar hai
ab tak hai jawan
hijr ki umr baDhi hai to chalo hum KHud hi
naqsh sab dil se miTa dete hain
hath jine se uTha lete hain
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 496)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.