hijraton ka dukh
nayā purānā
ho koī mausam
talāsh-e-jā-e-amāñ rahegī
bahut dinoñ tak
diloñ kī sarhad par
phir tashaddud kī jang hogī
usuul kī dhajjiyāñ uḌeñgī
galī galī meñ
qabīh lamhoñ ke devtāoñ kā raqs hogā
bahut dinoñ tak
fazā meñ gard-o-ġhubār hogā
dhuāñ dhuāñ zindagī kī rāhoñ meñ
ḳhār-o-ḳhas kā hisār hogā
bahut dinoñ tak
lahū lahū āsmān hogā
shajar shajar be-zabān hogā
vo phuul
jin kī ragoñ meñ apnā lahū hai shāmil
badalte mausam kā saath deñge
hamāre sab hī harīf hoñge
bagūle maġhrib se uTh rahe haiñ
phir ek taaza sā zaḳhm hogā
naya purana
ho koi mausam
talash-e-ja-e-aman rahegi
bahut dinon tak
dilon ki sarhad par
phir tashaddud ki jang hogi
usul ki dhajjiyan uDengi
gali gali mein
qabih lamhon ke dewtaon ka raqs hoga
bahut dinon tak
faza mein gard-o-ghubar hoga
dhuan dhuan zindagi ki rahon mein
KHar-o-KHas ka hisar hoga
bahut dinon tak
lahu lahu aasman hoga
shajar shajar be-zaban hoga
wo phul
jin ki ragon mein apna lahu hai shamil
badalte mausam ka sath denge
hamare sab hi harif honge
bagule maghrib se uTh rahe hain
phir ek taza sa zaKHm hoga
- Book : Aatish Fishan (Pg. 44)
- Author : Shamim Qasmi
- Publication : Noshiin Publications (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.