himala
ajiib bezār shaḳhs hai vo
use aqīdat aziyyatoñ āzmā.ishoñ se
vo sar pe duniyā kā bojh Daale
rivāyatoñ ke liye havāle
tamām himmat-ba-kaf diyānat
kuaañ nayā roz khodtā hai
phir us meñ girtā hai
gir ke ḳhud ko nikālne kī muhim meñ din-rāt kāTtā hai
use mohabbat hai zaat kī gahrī khā.iyoñ se
kamāl hairat hai us ne ḳhud se kabhī na pūchhā
ye bojh kaisā uThā rakhā hai
hai is aziyyat meñ maslahat kyā
qadam qadam ḳhār-dār raste
ye dasht-o-dariyā ye kohsāroñ ke silsile se
ye chhoTī chhoTī rukāvaTeñ ek phuul had tak
ye lamhe lamhe kī muskurāhaT ke muntazir log haspatāloñ meñ
merī āñkhoñ se kyuuñ chhupe haiñ
ye mere ḳhvāboñ se duur kyuuñ haiñ
sile hue un ke hoñT kyuuñ haiñ
kamāl hairat hai us ne ḳhud se kabhī na pūchhā
koī sadā sarfarosh jazba
koī nidā kyuuñ nahīñ bulātī
ai dām-e-kulfat ke be-riyā dā.imī sitam-kash
maiñ muntazir huuñ
kabhī mujhe bhī tū aazmā le
ajib bezar shaKHs hai wo
use aqidat aziyyaton aazmaishon se
wo sar pe duniya ka bojh Dale
riwayaton ke liye hawale
tamam himmat-ba-kaf diyanat
kuan naya roz khodta hai
phir us mein girta hai
gir ke KHud ko nikalne ki muhim mein din-raat kaTta hai
use mohabbat hai zat ki gahri khaiyon se
kamal hairat hai us ne KHud se kabhi na puchha
ye bojh kaisa uTha rakha hai
hai is aziyyat mein maslahat kya
qadam qadam KHar-dar raste
ye dasht-o-dariya ye kohsaron ke silsile se
ye chhoTi chhoTi rukawaTen ek phul had tak
ye lamhe lamhe ki muskurahaT ke muntazir log haspatalon mein
meri aankhon se kyun chhupe hain
ye mere KHwabon se dur kyun hain
sile hue un ke honT kyun hain
kamal hairat hai us ne KHud se kabhi na puchha
koi sada sarfarosh jazba
koi nida kyun nahin bulati
ai dam-e-kulfat ke be-riya daimi sitam-kash
main muntazir hun
kabhi mujhe bhi tu aazma le
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 98)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.