hindostani bachche ka git
maiñ bachcha huuñ maiñ bachcha huuñ kabhī maiñ bhī baḌā hūñgā
abhī se kaise batlā.ūñ ki is duniyā meñ kyā hūñgā
maiñ jī bachpan se paḌhne aur likhne meñ lagā.ūñgā
kabhī khelūñgā ḳhush ho kar kabhī paḌhne ko jā.ūñgā
musībat kuchh bhī pesh aa jaa.e hargiz muñh na moḌūñgā
uThūñ jis kaam ke karne ko puurā kar ke chhoḌūñgā
maiñ is duniyā ke har ilm-o-hunar se āshnā ho kar
bajā lā.ūñgā mulk aur qaum kī ḳhidmat baḌā ho kar
maiñ apne sabr aur himmat se dukh par fat.h pā.ūñgā
maiñ taklīfeñ uThā.ūñgā magar kuchh kar dikhā.ūñgā
maiñ apne mulk kī qaumoñ ko aapas meñ milā dūñgā
jo laḌte haiñ unheñ sharbat mohabbat kā pilā dūñgā
musalmān aur hindū jain budh sikh aur īsā.ī
mirī koshish se us din sab ke sab ho jā.eñge bhaa.ī
ye saarī tāqateñ mil kar vatan ke kaam ā.eñgī
na.ī ik ruuh is meñ phūñk kar is ko jilā.eñgī
na.e sir se vatan ke dil meñ phir ik josh uTThegā
sanā.at kā zarā.at kā tijārat kā hukūmat kā
baḌhegī mulk kī raunaq baḌhegī is kī ābādī
jidhar dekho udhar rāhat jidhar dekho udhar shādī
huā aisā to 'nayyar' ham ḳhushī ke giit gā.eñge
ġhulāmī ke zamāne kī kahānī bhuul jā.eñge
main bachcha hun main bachcha hun kabhi main bhi baDa hunga
abhi se kaise batlaun ki is duniya mein kya hunga
main ji bachpan se paDhne aur likhne mein lagaunga
kabhi khelunga KHush ho kar kabhi paDhne ko jaunga
musibat kuchh bhi pesh aa jae hargiz munh na moDunga
uThun jis kaam ke karne ko pura kar ke chhoDunga
main is duniya ke har ilm-o-hunar se aashna ho kar
baja launga mulk aur qaum ki KHidmat baDa ho kar
main apne sabr aur himmat se dukh par fath paunga
main taklifen uThaunga magar kuchh kar dikhaunga
main apne mulk ki qaumon ko aapas mein mila dunga
jo laDte hain unhen sharbat mohabbat ka pila dunga
musalman aur hindu jain budh sikh aur isai
meri koshish se us din sab ke sab ho jaenge bhai
ye sari taqaten mil kar watan ke kaam aaengi
nai ek ruh is mein phunk kar is ko jilaengi
nae sir se watan ke dil mein phir ek josh uTThega
sanaat ka zaraat ka tijarat ka hukumat ka
baDhegi mulk ki raunaq baDhegi is ki aabaadi
jidhar dekho udhar rahat jidhar dekho udhar shadi
hua aisa to 'nayyar' hum KHushi ke git gaenge
ghulami ke zamane ki kahani bhul jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.