hongi meri nazmen tumhaare aas-pas
kal
jab maiñ nahīñ rahūñgā
raheñgī merī nazmeñ
tumhāre ās-pās hī
merā ehsās dilātī huiiñ
tum se boltī batiyāti huiiñ
merī yaad meñ
jab bhī dhaḌkegā tumhārā dil
dhaḌak uTheñgī merī nazmeñ
jab bhī
tumhārī saañs kā koī lamha
pūchhegā merī nazmoñ ko
khil uTheñgī merī nazmeñ
mahak mahak uTheñgī merī nazmeñ
jab kabhī
tum lauTogī ghar thakī huī
mil jā.eñgī merī nazmeñ tumheñ
tumhāre takiye ke paas
aur thāmeñgī
tumhārī bāñhoñ ko vaise hī
jaise thāmtā huuñ maiñ
tumhārī bāñheñ har raat
jab bhī hogī tez bārish
taan lenā merī nazmoñ ko
chhatrī ban
tumhārī hifāzat kareñgī merī nazmeñ
kisī sard kohre bharī raat meñ
jab kāñpeñgī tumhārī deh
oḌh lenā merī nazmoñ ko
doshāle kī tarah
jo deñgī tumheñ
vahī garmī tāzgī
aur vahī pyaar
kal
jab main nahin rahunga
rahengi meri nazmen
tumhaare aas-pas hi
mera ehsas dilati huin
tum se bolti batiyati huin
meri yaad mein
jab bhi dhaDkega tumhaara dil
dhaDak uThengi meri nazmen
jab bhi
tumhaari sans ka koi lamha
puchhega meri nazmon ko
khil uThengi meri nazmen
mahak mahak uThengi meri nazmen
jab kabhi
tum lauTogi ghar thaki hui
mil jaengi meri nazmen tumhein
tumhaare takiye ke pas
aur thamengi
tumhaari banhon ko waise hi
jaise thamta hun main
tumhaari banhen har raat
jab bhi hogi tez barish
tan lena meri nazmon ko
chhatri ban
tumhaari hifazat karengi meri nazmen
kisi sard kohre bhari raat mein
jab kanpengi tumhaari deh
oDh lena meri nazmon ko
doshaale ki tarah
jo dengi tumhein
wahi garmi tazgi
aur wahi pyar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.