hujum
ye hujūm-sūrat āsmān-e-siyāh mere aqab meñ hai
maiñ baḌe buland shajar kā phal baḌe fāsle kā shikār
ġhamza-e-rāz-dār
kahā gayā ki zamīn ik kaf jo pahāḌ mauj-e-nasīm gesū-e-ḳhalvatī
so zamīn sāya-e-tīrgī kī misāl mere aqab meñ hai
mujhe niiñd se jo uThā ke jur.a-e-āb de
jo pas-e-ġhubār chahār-samt se aa ke merā halāk ho
jo dam shaguft-e-gul-shafaq merī kuhniyoñ se qarīb ho
vo hujūm-e-ḳhalvatiyān-e-ḳhās mere aqab meñ hai
maiñ samā.atoñ kā shikār thā
tū samā.atoñ kā sahāb sūrat-e-āb mere aqab meñ hai
koī rāste meñ nahīñ milā
koī barg-o-bār-o-gul-o-shajar
koī nān-o-lahm-e-guzishtgāñ
koī aañkh niiñd ḳhayāl ḳhvāb abr shitāb nahīñ milā
koī ḳhvāb-zāda nahīñ milā
sar-e-ḳhud-nehāda nahīñ milā
sar-e-ḳhud-nehada ba-kaf ye meñ ki zamīn ik kaf-e-jū
pahāḌ mauj-e-nasīm gesū-e-ḳhalvatī
sar-e-ḳhud-nehāda ba-kaf ye maiñ ki hujūm-e-mār-e-siyāh mere aqab meñ hai
maiñ baḌe buland shajar kā phal
baḌe fāsle kā shikār ġhamza-e-rāz-dār
ye hujum-surat aasman-e-siyah mere aqab mein hai
main baDe buland shajar ka phal baDe fasle ka shikar
ghamza-e-raaz-dar
kaha gaya ki zamin ek kaf jo pahaD mauj-e-nasim gesu-e-KHalwati
so zamin saya-e-tirgi ki misal mere aqab mein hai
mujhe nind se jo uTha ke jura-e-ab de
jo pas-e-ghubar chahaar-samt se aa ke mera halak ho
jo dam shaguft-e-gul-shafaq meri kuhniyon se qarib ho
wo hujum-e-KHalwatiyan-e-KHas mere aqab mein hai
main samaaton ka shikar tha
tu samaaton ka sahab surat-e-ab mere aqab mein hai
koi raste mein nahin mila
koi barg-o-bar-o-gul-o-shajar
koi nan-o-lahm-e-guzishtgan
koi aankh nind KHayal KHwab abr shitab nahin mila
koi KHwab-zada nahin mila
sar-e-KHud-nehada nahin mila
sar-e-KHud-nehada ba-kaf ye mein ki zamin ek kaf-e-ju
pahaD mauj-e-nasim gesu-e-KHalwati
sar-e-KHud-nehada ba-kaf ye main ki hujum-e-mar-e-siyah mere aqab mein hai
main baDe buland shajar ka phal
baDe fasle ka shikar ghamza-e-raaz-dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.