husn
chal paḌī aThkheliyāñ kartī huī bād-e-nasīm
ik kalī ġhuncha banī ġhuncha chaTak kar gul banā
ḳhud-ba-ḳhud karne lagā vo apne ḳhāliq kī sanā
zarre zarre ko jagāne aa.ī gulshan meñ shamīm
Daalī Daalī ḳhud-ba-ḳhud detī hai mastī kā payām
muñh shagūfe kā koī chupke se aa kar dho gayā
pattā pattā ḳhud-ba-ḳhud hī kho ke kuchh paane lagā
būTe-būTe ne nihārā apnā husn-e-nā-tamām
ek titlī kar rahī hai aa ke sausan se savāl
aañkh mūñde so rahā hai aaj nargis kā shu'ūr
motiyā champā chañbelī apnī duniyā se haiñ duur
ai sakhī mujh ko batā de husn kā kyā hai ma.aal
phuul kī pattī pe dekhā maiñ ne shabnam kā shabāb
le uḌā surḳhī safedī sub.h-e-nau kā āftāb
chal paDi aThkheliyan karti hui baad-e-nasim
ek kali ghuncha bani ghuncha chaTak kar gul bana
KHud-ba-KHud karne laga wo apne KHaliq ki sana
zarre zarre ko jagane aai gulshan mein shamim
Dali Dali KHud-ba-KHud deti hai masti ka payam
munh shagufe ka koi chupke se aa kar dho gaya
patta patta KHud-ba-KHud hi kho ke kuchh pane laga
buTe-buTe ne nihaara apna husn-e-na-tamam
ek titli kar rahi hai aa ke sausan se sawal
aankh munde so raha hai aaj nargis ka shu'ur
motiya champa chanbeli apni duniya se hain dur
ai sakhi mujh ko bata de husn ka kya hai maal
phul ki patti pe dekha main ne shabnam ka shabab
le uDa surKHi safedi subh-e-nau ka aaftab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.