husn-e-jaanan
tū ki shahkār-e-sannā'-e-har-avvalīñ
tū bayāñ meñ nahīñ dastaras meñ nahīñ
husn kāfir tirā aañkh tauba-shikan
daav par lag ga.e jān-o-īmān bhī
tū dalīl-e-sahar sham'-e-bahr-o-bar
rāh-e-īmān bhī rang-e-vijdān bhī
terī āñkhoñ meñ dair-o-haram qaid hai
jām-e-gulfām kyā jām-e-jam qaid hai
gaahe rang-e-ġhilāf-e-haram ho ga.iiñ
gaahe rang-e-hinā dam-ba-dam ho ga.iiñ
gaahe kitnoñ ko bhaTkā diyā raah se
gaahe ye manziloñ kā 'alam ho ga.iiñ
terī palkeñ jhukīñ chāñd Dhalne lage
shaam hone lagī zaḳhm jalne lage
sāhira phir tirā sehr hone lagā
log girne lage hosh uḌne lage
terā ruḳhsār hai chāñdnī kī hayā
duudh meñ jaise sindūr ghulne lagā
tere ruḳhsār rang-e-shafaq ho ga.e
yā'nī ye shā'irī ke ufuq ho ga.e
kis ko tashbīh duuñ isti'āra karūñ
lab ko lab ke liye hī gavārā karūñ
hoñT kyā āyateñ haiñ ye qur.ān kī
jaan haiñ jān-e-jāñ ye tirī jaan kī
un se chhū leñ to alfāz ḳhushbū baneñ
qahqahe nuur ban jaa.eñ jaadū baneñ
shabnamī pankhuḌī pankhuḌī haiñ faqat
aur kyā maiñ kahūñ zindagī haiñ faqat
sochtā huuñ to kuchh sochā jaatā nahīñ
husn terā to ab dekhā jaatā nahīñ
yā'nī 'jāved-aḳhtar’ ne sach hī kahā
husn-e-jānāñ kī tā'rīf mumkin nahīñ
husn-e-jānāñ kī tā'rīf mumkin nahīñ
tu ki shahkar-e-sanna'-e-har-awwalin
tu bayan mein nahin dastaras mein nahin
husn kafir tera aankh tauba-shikan
daw par lag gae jaan-o-iman bhi
tu dalil-e-sahar sham'-e-bahr-o-bar
rah-e-iman bhi rang-e-wijdan bhi
teri aankhon mein dair-o-haram qaid hai
jam-e-gulfam kya jam-e-jam qaid hai
gahe rang-e-ghilaf-e-haram ho gain
gahe rang-e-hina dam-ba-dam ho gain
gahe kitnon ko bhaTka diya rah se
gahe ye manzilon ka 'alam ho gain
teri palken jhukin chand Dhalne lage
sham hone lagi zaKHm jalne lage
sahira phir tera sehr hone laga
log girne lage hosh uDne lage
tera ruKHsar hai chandni ki haya
dudh mein jaise sindur ghulne laga
tere ruKHsar rang-e-shafaq ho gae
ya'ni ye sha'iri ke ufuq ho gae
kis ko tashbih dun isti'ara karun
lab ko lab ke liye hi gawara karun
honT kya aayaten hain ye quran ki
jaan hain jaan-e-jaan ye teri jaan ki
un se chhu len to alfaz KHushbu banen
qahqahe nur ban jaen jadu banen
shabnami pankhuDi pankhuDi hain faqat
aur kya main kahun zindagi hain faqat
sochta hun to kuchh socha jata nahin
husn tera to ab dekha jata nahin
ya'ni 'jawed-aKHtar’ ne sach hi kaha
husn-e-jaanan ki ta'rif mumkin nahin
husn-e-jaanan ki ta'rif mumkin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.