ibham
mujhe duur hī duur se dekhnā tum
agar paas aa.e to shāyad machal jā.uñgā
agar chhū ke dekhā to shāyad phisal jā.uñgā
agar chakh ke dekhā to shāyad pighal jā.uñgā
mujhe sirf mahsūs karne kā fan siikh lo gar
khulegā ye tum par
ki mujh meñ ka.ī rang haiñ ruup haiñ
zā.iqe haiñ
maiñ dar-asl tum se bahut hī qarīñ huuñ
tumhāre hī hālāt kā 'aks huuñ maiñ
mujhe dur hi dur se dekhna tum
agar pas aae to shayad machal jaunga
agar chhu ke dekha to shayad phisal jaunga
agar chakh ke dekha to shayad pighal jaunga
mujhe sirf mahsus karne ka fan sikh lo gar
khulega ye tum par
ki mujh mein kai rang hain rup hain
zaiqe hain
main dar-asl tum se bahut hi qarin hun
tumhaare hi haalat ka 'aks hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.