iblagh: baghair lafzon ke ek nazm
ek be-chehra ḳhvāb
ek be-nām ḳhushbū meñ lipTā huā
ek ḳhushbū ki jis ne koī rang pahnā na ho
ek ḳhāmosh lai
ek lai mere kānoñ meñ ras gholtī
apnī uryāniyoñ meñ lapeTā huā ek sur
ek sur jis kī buntar meñ āvāz kī gāñTh aa.ī na ho
jis ke shaffāf tan par kisī lafz kā koī gahnā na ho
lafz se māvarā
ek naġhma kisī ne jo gaayā na ho
jis meñ barte hue ek bhī harf kā koī saaya na ho
jo kisī saañs meñ bhī samāyā na ho
ye bahut ho
hameñ aur kuchh us se kahnā na ho
ek be-chehra KHwab
ek be-nam KHushbu mein lipTa hua
ek KHushbu ki jis ne koi rang pahna na ho
ek KHamosh lai
ek lai mere kanon mein ras gholti
apni uryaniyon mein lapeTa hua ek sur
ek sur jis ki buntar mein aawaz ki ganTh aai na ho
jis ke shaffaf tan par kisi lafz ka koi gahna na ho
lafz se mawara
ek naghma kisi ne jo gaya na ho
jis mein barte hue ek bhi harf ka koi saya na ho
jo kisi sans mein bhi samaya na ho
ye bahut ho
hamein aur kuchh us se kahna na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.