iblagh
galā ruñDhā ho to ham baat kar nahīñ sakte
ishāroñ aur kināyoñ se apne matlab ko
bajā.e kānoñ ke āñkhoñ pe thop dete haiñ
galā thā saaf to kyā ham ne tiir maarā thā
yahī ki naam kamāyā thā yāva-goī meñ
ġhazal-sarā.ī meñ yā falsafa-tarāzī meñ
magar vo baat jo sach hai abhī gale meñ hai
galā runDhā ho galā saaf ho to farq hī kyā
gala runDha ho to hum baat kar nahin sakte
ishaaron aur kinayon se apne matlab ko
bajae kanon ke aankhon pe thop dete hain
gala tha saf to kya hum ne tir mara tha
yahi ki nam kamaya tha yawa-goi mein
ghazal-sarai mein ya falsafa-taraazi mein
magar wo baat jo sach hai abhi gale mein hai
gala runDha ho gala saf ho to farq hi kya
- Book : shab-khoon(shumara-number-021) (Pg. 6)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.