ibn-e-adam ka azm
ye ḳhār-zār-e-jahāñ saaf kar rahā huuñ maiñ
zamīn par hai banānā mujhe ḳhud apnā bahisht
tire bahisht ko Thukrā ke maiñ nikal aaya
maiñ aadmī huuñ itā.at nahīñ hai merī sarisht
nahīñ vo chāhiye jo haath uThā ke miltā hai
chaman ho apnā gul apne hoñ aur apnī kisht
muqaddarāt kī ghuTTas hai ab to zīq-e-nafas
shikasta karnā hai zanjīr-e-halqa-hā-e-navisht
maiñ aa rahā huuñ sañbhāl apne chāñd tāroñ ko
lagegī auj-e-surayyā pe ḳhāk-e-arz kī ḳhisht
vo dekh mere harāaval fazā se aage haiñ
kashish kī TuuT chukī hai har ek qaid-e-zisht
na kar sakeñge hukūmat ab aql-e-insāñ par
muhāfizān-e-haram aur lo'batān-e-kunisht
ye KHar-zar-e-jahan saf kar raha hun main
zamin par hai banana mujhe KHud apna bahisht
tere bahisht ko Thukra ke main nikal aaya
main aadmi hun itaat nahin hai meri sarisht
nahin wo chahiye jo hath uTha ke milta hai
chaman ho apna gul apne hon aur apni kisht
muqaddaraat ki ghuTTas hai ab to ziq-e-nafas
shikasta karna hai zanjir-e-halqa-ha-e-nawisht
main aa raha hun sanbhaal apne chand taron ko
lagegi auj-e-surayya pe KHak-e-arz ki KHisht
wo dekh mere haraawal faza se aage hain
kashish ki TuT chuki hai har ek qaid-e-zisht
na kar sakenge hukumat ab aql-e-insan par
muhafizan-e-haram aur lo'batan-e-kunisht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.