katik ka chand
chāñd kab se hai sar-e-shāḳh-e-sanobar aTkā
ghaas shabnam meñ sharābor hai shab hai aadhī
baam suunā hai, kahāñ DhūñDeñ kisī kā chehrā
(log samjheñge ki be-rabt haiñ bāteñ apnī)
sher ugte haiñ dukhī zehn se koñpal koñpal
kaun mausam hai ki bharpūr haiñ ġham kī beleñ
duur pahuñche haiñ sarakte hue uude bādal
chāñd tanhā hai (agar us kī balā.eñ le leñ?)
dosto jī kā ajab haal hai, lenā baḌhnā
chāñdnī raat hai kātik kā mahīna hogā
mīr-e-maġhfūr ke ash.ār na paiham paḌhnā
jiine vāloñ ko abhī aur bhī jiinā hogā
chāñd ThiThkā hai sar-e-shāḳh-e-sanobar kab se
kaun sā chāñd hai kis rut kī haiñ rāteñ logo
dhund uḌne lagī bunñe lagī kyā kyā chehre
achchhī lagtī haiñ divānoñ kī sī bāteñ logo
bhīgtī raat meñ dubkā huā jhīñgar bolā
kasmasātī kisī jhāḌī meñ se ḳhushbū lapkī
koī kākul koī dāman, koī āñchal hogā
ek duniyā thī magar ham se sameTī na ga.ī
ye baḌā chāñd chamaktā huā chehra khole
baiThā rahtā hai sar-e-bām-e-shabistāñ shab ko
ham to is shahr meñ tanhā haiñ, hamīñ se bole
kaun is husn ko dekhegā ye is se pūchho
sone lagtī hai sar-e-shām ye saarī duniyā
in ke hujroñ meñ na dar hai na darīcha koī
in kī qismat meñ shab-e-māh ko ronā kaisā
in ke siine meñ na hasrat na tamannā koī
kis se is dard-e-judā.ī kī shikāyat kahiye
yaañ to siine meñ niystāñ kā niystāñ hogā
kis se is dil ke ujaḌne kī hikāyat kahiye
sunñe vaalā bhī jo hairāñ nahīñ, hairāñ hogā
aisī bātoñ se na kuchh baat banegī apnī
suunī āñkhoñ meñ nirāshā kā ghulegā kājal
ḳhālī sapnoñ se na auqāt banegī apnī
ye shab-e-māh bhī kaT jā.egī be-kal be-kal
jī meñ aatī hai ki kamre meñ bulā leñ is ko
chāñd kab se hai sar-e-shāḳh-e-sanobar aTkā
raat us ko bhī nigal jā.egī bolo bolo
baam par aur na aa.egā kisī kā chehrā
chand kab se hai sar-e-shaKH-e-sanobar aTka
ghas shabnam mein sharabor hai shab hai aadhi
baam suna hai, kahan DhunDen kisi ka chehra
(log samjhenge ki be-rabt hain baaten apni)
sher ugte hain dukhi zehn se konpal konpal
kaun mausam hai ki bharpur hain gham ki belen
dur pahunche hain sarakte hue ude baadal
chand tanha hai (agar us ki balaen le len?)
dosto ji ka ajab haal hai, lena baDhna
chandni raat hai katik ka mahina hoga
mir-e-maghfur ke ashaar na paiham paDhna
jine walon ko abhi aur bhi jina hoga
chand ThiThka hai sar-e-shaKH-e-sanobar kab se
kaun sa chand hai kis rut ki hain raaten logo
dhund uDne lagi bunne lagi kya kya chehre
achchhi lagti hain diwanon ki si baaten logo
bhigti raat mein dubka hua jhingar bola
kasmasati kisi jhaDi mein se KHushbu lapki
koi kakul koi daman, koi aanchal hoga
ek duniya thi magar hum se sameTi na gai
ye baDa chand chamakta hua chehra khole
baiTha rahta hai sar-e-baam-e-shabistan shab ko
hum to is shahr mein tanha hain, hamin se bole
kaun is husn ko dekhega ye is se puchho
sone lagti hai sar-e-sham ye sari duniya
in ke hujron mein na dar hai na daricha koi
in ki qismat mein shab-e-mah ko rona kaisa
in ke sine mein na hasrat na tamanna koi
kis se is dard-e-judai ki shikayat kahiye
yan to sine mein niystan ka niystan hoga
kis se is dil ke ujaDne ki hikayat kahiye
sunne wala bhi jo hairan nahin, hairan hoga
aisi baaton se na kuchh baat banegi apni
suni aankhon mein nirasha ka ghulega kajal
KHali sapnon se na auqat banegi apni
ye shab-e-mah bhi kaT jaegi be-kal be-kal
ji mein aati hai ki kamre mein bula len is ko
chand kab se hai sar-e-shaKH-e-sanobar aTka
raat us ko bhi nigal jaegi bolo bolo
baam par aur na aaega kisi ka chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.