ightisab (rape)
shaiḳh farmāte haiñ
Dārvin jhūTā thā
insān kab bandar thā
insān to aisā kabhī bhī nahīñ thā
shaiḳh farmāte haiñ
laTaknā jhapaTnā kabhī muñh chiḌhānā
ye aadat hamārī bhī kabhī nahīñ thī
mirī ādatoñ meñ ye sab nahīñ the
kitābeñ to kahtī haiñ ham bandar nahīñ the
maazī ke jab bhī jharoke se dekho
tārīḳh ke jab bhī aurāq palTo
apne hī ghar meñ zarā pīchhe jā kar
mohalloñ kī galiyoñ meñ kuchh der ruk kar
jo shahroñ va mulkoñ kī sarhad pe jaao
zarā der ruk kar kabhī soch lo to
ḳhud apne se sharminda hote rahoge
akele meñ ḳhud se ye kahte rahoge
laTaknā jhapaTnā kabhī muñh chiḌhānā
insāñ kī aadat purānī rahī hai
agar shaiḳh kuchh kah rahe haiñ to kah leñ
māsūmoñ par ham jhapaTte raheñge
sharīfoñ ko ham muñh chiḌhāte raheñge
ham zālim haiñ zulmat baḌhāte raheñge
agar shaiḳh kuchh kah rahe haiñ to kah leñ
ham Dārvin ko sach sābit kar ke raheñge
shaiKH farmate hain
Darwin jhuTa tha
insan kab bandar tha
insan to aisa kabhi bhi nahin tha
shaiKH farmate hain
laTakna jhapaTna kabhi munh chiDhana
ye aadat hamari bhi kabhi nahin thi
meri aadaton mein ye sab nahin the
kitaben to kahti hain hum bandar nahin the
mazi ke jab bhi jharoke se dekho
tariKH ke jab bhi auraq palTo
apne hi ghar mein zara pichhe ja kar
mohallon ki galiyon mein kuchh der ruk kar
jo shahron wa mulkon ki sarhad pe jao
zara der ruk kar kabhi soch lo to
KHud apne se sharminda hote rahoge
akele mein KHud se ye kahte rahoge
laTakna jhapaTna kabhi munh chiDhana
insan ki aadat purani rahi hai
agar shaiKH kuchh kah rahe hain to kah len
masumon par hum jhapaTte rahenge
sharifon ko hum munh chiDhate rahenge
hum zalim hain zulmat baDhate rahenge
agar shaiKH kuchh kah rahe hain to kah len
hum Darwin ko sach sabit kar ke rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.