id aai hai
gulshan-e-zīst pe pur-kaif ghaTā chhā.ī hai
ruḳh pe har phuul ke ik husn hai ra.anā.ī hai
ab kalī firqa-parastī kī hai murjhā.ī hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai
aaj kā din hai har ik maz.hab-o-millat ke liye
rang-raliyoñ ke liye aur mohabbat ke liye
aaj ke roz se dushman bhī sagā bhaa.ī hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai
naqsh iz.hār-e-mohabbat kā ubhar jaatā hai
iid aatī hai to māhaul sañvar jaatā hai
iid maḳhsūs ibādat kā maza laa.ī hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai
aaj kī raat se chhante hue anvār-e-sahar
bhā.ī-chāre kī fazā dekh ke tā-hadd-e-nazar
ruuh zulmat-kada-e-dahr kī tharrā.ī hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai
jagmagāte hue bachchoñ ke rañgīle kapḌe
aur za.īfoñ ke javānoñ ke sajīle kapḌe
jin se rangīnī-e-gulzār bhī sharmā.ī hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai
masjideñ markaz-e-sajda haiñ musalmānoñ kā
īd-gāheñ haiñ ki sailāb hai insānoñ kā
rahmat-e-haq hai jo māhaul pe lahrā.ī hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai
duur tak ġham kā kahīñ naam nahīñ miltā hai
har taraf aish-o-masarrat kā yaqīñ miltā hai
shaam mustaqbil-e-rangīñ kī ḳhabar laa.ī hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai
raqs kartī huī har samt masarrat kī bahār
dost ahbāb ke jhurmuT vo rafīqoñ kī qatār
aaj tanhā.ī ne mahfil kī jagah paa.ī hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai
dostī amn sharāfat kā baḌhā.e hue haath
ham gale milte haiñ baḌh kar ke baḌe pyaar ke saath
jaise har shaḳhs se barsoñ kī shanāsā.ī hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki iid aa.ī hai
gulshan-e-zist pe pur-kaif ghaTa chhai hai
ruKH pe har phul ke ek husn hai ranai hai
ab kali firqa-parasti ki hai murjhai hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai
aaj ka din hai har ek mazhab-o-millat ke liye
rang-raliyon ke liye aur mohabbat ke liye
aaj ke roz se dushman bhi saga bhai hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai
naqsh izhaar-e-mohabbat ka ubhar jata hai
id aati hai to mahaul sanwar jata hai
id maKHsus ibaadat ka maza lai hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai
aaj ki raat se chhante hue anwar-e-sahar
bhai-chaare ki faza dekh ke ta-hadd-e-nazar
ruh zulmat-kada-e-dahr ki tharrai hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai
jagmagate hue bachchon ke rangile kapDe
aur zaifon ke jawanon ke sajile kapDe
jin se rangini-e-gulzar bhi sharmai hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai
masjiden markaz-e-sajda hain musalmanon ka
id-gahen hain ki sailab hai insanon ka
rahmat-e-haq hai jo mahaul pe lahrai hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai
dur tak gham ka kahin nam nahin milta hai
har taraf aish-o-masarrat ka yaqin milta hai
sham mustaqbil-e-rangin ki KHabar lai hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai
raqs karti hui har samt masarrat ki bahaar
dost ahbab ke jhurmuT wo rafiqon ki qatar
aaj tanhai ne mahfil ki jagah pai hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai
dosti amn sharafat ka baDhae hue hath
hum gale milte hain baDh kar ke baDe pyar ke sath
jaise har shaKHs se barson ki shanasai hai
har taraf jashn-e-masarrat hai ki id aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.