ek arman
soch būḌhī ho jaane ke baa'd
maiñ apnī yaad meñ ek nazm likhūñgā
maiñ marne se ek din pahle
vo tamām muskurāte mukhauTe kisī
udaas buḌhiyā ko tohfe meñ dūñgā
ik āḳhirī mulāqāt karūñgā apnī
udāsī se aur use raushan-dān se
aane vaalī raushnī se milvā.ūñgā
jo use muskurāne kā fan sikhā.egī
apne tamām ḳhatoñ ko āḳhirī baar paḌhūñgā
aur apnā shāna thapkāte hue
ḳhud ko ek bose se navāzūñgā
aur maut ke gale lag jā.ūñgā
soch buDhi ho jaane ke ba'd
main apni yaad mein ek nazm likhunga
main marne se ek din pahle
wo tamam muskuraate mukhauTe kisi
udas buDhiya ko tohfe mein dunga
ek aaKHiri mulaqat karunga apni
udasi se aur use raushan-dan se
aane wali raushni se milwaunga
jo use muskurane ka fan sikhaegi
apne tamam KHaton ko aaKHiri bar paDhunga
aur apna shana thapkate hue
KHud ko ek bose se nawazunga
aur maut ke gale lag jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.