ek be-dhiyani
maiñ ThanDe tave kī roTī huuñ
mujhe be-dhyānī meñ Daalā gayā
mujhe bedardī se palTā gayā
mire kitne TukḌe ukhaḌ ga.e
maiñ Thiik se señkī jā na sakī
maiñ kisī chañgīr meñ aa na sakī
mirā pisnā jalnā aur guñdhnā
be-kār gayā maiñ haar ga.ī
ik be-dhyānī mujhe maar ga.ī
main ThanDe tawe ki roTi hun
mujhe be-dhyani mein Dala gaya
mujhe bedardi se palTa gaya
mere kitne TukDe ukhaD gae
main Thik se senki ja na saki
main kisi changir mein aa na saki
mera pisna jalna aur gundhna
be-kar gaya main haar gai
ek be-dhyani mujhe mar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.