ek kahani
ham par thī pyāre bachcho naanī kī mehrbānī
rozāna raat ko vo kahtī thiiñ ik kahānī
ik raat ko sunāyā barsāt kā fasāna
kahne lagīñ ki mausam ik roz thā suhānā
thā dekhne ke qābil favvāra āsmānī
dariyā se lā ke bādal barsā rahe the paanī
tālāb ban gayā thā āñgan hamāre ghar kā
Tahnī pe us kī bachcho baiThā thā ek totā
us ko jhulā rahā thā aa kar havā kā jhoñkā
dālān meñ se billī tote ko tak rahī thī
lālach meñ raal us kī goyā Tapak rahī thī
jaldī se us ne hamla parchhā.īñ par kiyā jo
totā na haath aayā paanī meñ gir ga.ī vo
pachhtā.ī apne dil meñ ghabrā ke aa.ī ghar meñ
āḳhir to jānvar thī kāmil na thī nazar meñ
bachcho ḳhudā ne tum ko baḳhshī hai hoshiyārī
har kaam se ho zāhir dānishvarī tumhārī
hum par thi pyare bachcho nani ki mehrbani
rozana raat ko wo kahti thin ek kahani
ek raat ko sunaya barsat ka fasana
kahne lagin ki mausam ek roz tha suhana
tha dekhne ke qabil fawwara aasmani
dariya se la ke baadal barsa rahe the pani
talab ban gaya tha aangan hamare ghar ka
Tahni pe us ki bachcho baiTha tha ek tota
us ko jhula raha tha aa kar hawa ka jhonka
dalan mein se billi tote ko tak rahi thi
lalach mein ral us ki goya Tapak rahi thi
jaldi se us ne hamla parchhain par kiya jo
tota na hath aaya pani mein gir gai wo
pachhtai apne dil mein ghabra ke aai ghar mein
aaKHir to jaanwar thi kaamil na thi nazar mein
bachcho KHuda ne tum ko baKHshi hai hoshiyari
har kaam se ho zahir danishwari tumhaari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.