ek tanha be-barg shajar
kaun mujhe dukh de saktā hai
dukh to mere andar kī kisht-e-vīrāñ kā
ik tanhā be-barg shajar hai
rut kī nāzuk lāñbī poreñ
kirneñ ḳhushbū chaap havā.eñ
jismoñ par jab reñgne phirne lagtī haiñ
mere andar dukh kā nangā peḌ bhī jaag uThtā hai
tang masāmoñ ke ġhurfoñ se
lambī nāzuk shāḳheñ bāhar aa kar
tan kī andhī shiryānoñ meñ qadam qadam chalne lagtī haiñ
shiryānoñ se ragoñ ragoñ se nasoñ ke andar tak
jaane lagtī haiñ
phir vo garm lahū meñ Dhal kar
ik ik baal kī jaḌ tak phailtī jaatī haiñ
aur ye merā sadiyoñ purānā maskan ḳhākī maskan
ḳhud bhī ek shajar ban jaatā hai
vaqt kī qatra-qatra Tapaktī
surḳh zabāñ kī nok pe aa kar
jam jaatā hai
kaun mujhe dukh de sakta hai
dukh to mere andar ki kisht-e-viran ka
ek tanha be-barg shajar hai
rut ki nazuk lanbi poren
kirnen KHushbu chap hawaen
jismon par jab rengne phirne lagti hain
mere andar dukh ka nanga peD bhi jag uThta hai
tang masamon ke ghurfon se
lambi nazuk shaKHen bahar aa kar
tan ki andhi shiryanon mein qadam qadam chalne lagti hain
shiryanon se ragon ragon se nason ke andar tak
jaane lagti hain
phir wo garm lahu mein Dhal kar
ek ek baal ki jaD tak phailti jati hain
aur ye mera sadiyon purana maskan KHaki maskan
KHud bhi ek shajar ban jata hai
waqt ki qatra-qatra Tapakti
surKH zaban ki nok pe aa kar
jam jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.