iKHtitam se pahle
roz yuuñ hī hotā hai
soch ke darīchoñ se
yaad kī hasīñ pariyāñ nāchtī utartī haiñ
haath thaam kar merā
sañg sañg chaltī haiñ
aur phir vahī qissa ibtidā se āḳhir tak
harf harf
ḳhvāboñ kā pairahan badaltā hai
scrēn pe jaise koī film chaltī ho
aur har tamāshā.ī
dam-ba-ḳhud ho hairāñ ho
is hujūm meñ tanhā dekh kar koī mujh ko
mere paas aatā hai
har savāl āñkhoñ kā
aise mujh ko taktā hai
jaise tazkira us kā ḳhud mirī kahānī hai
maiñ use pakaḌne ko
jab bhī haath phailā.ūñ
silsila ḳhayāloñ kā TuuT kar bikhar jaa.e
jaise raushnī gul ho scrēn bujh jaa.e
jaise iḳhtitām se pahle film hī Thahar jaa.e
roz yuuñ hī hotā hai
roz yun hi hota hai
soch ke darichon se
yaad ki hasin pariyan nachti utarti hain
hath tham kar mera
sang sang chalti hain
aur phir wahi qissa ibtida se aaKHir tak
harf harf
KHwabon ka pairahan badalta hai
screen pe jaise koi film chalti ho
aur har tamashai
dam-ba-KHud ho hairan ho
is hujum mein tanha dekh kar koi mujh ko
mere pas aata hai
har sawal aankhon ka
aise mujh ko takta hai
jaise tazkira us ka KHud meri kahani hai
main use pakaDne ko
jab bhi hath phailaun
silsila KHayalon ka TuT kar bikhar jae
jaise raushni gul ho screen bujh jae
jaise iKHtitam se pahle film hi Thahar jae
roz yun hi hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.