ilahi rahm kar mujh par
ilāhī
rahm kar mujh par
mire siine meñ phir se dard uThtā hai
sulagtā hai alaav kī tarah
mirī palkoñ se kuchh ummīdeñ aañsū ban ke yuuñ jhaḌtī haiñ jaise sūkhe patte shāḳh se jhaḌte haiñ patjhaḌ meñ
mere ehsās aur jazbāt bachchoñ kī tarah rote bilakte haiñ
mire TuuTe hue sapne
nigāhoñ meñ yuuñ chubhte haiñ ke jaise kāñch chubhtā hai
mere armāñ merī aahoñ kī sūrat le ke
is dil se nikalte haiñ
merī kuchh ḳhvāhisheñ ab bhī machaltī haiñ taḌaptī hai mere dil meñ ke jaise machhliyāñ paanī se bāhar aa ga.ī hoñ
tanaffus kā amal lagtā hai yuuñ jaise
ke merī ruuh par koḌe koī barsā rahā hai
badan yuuñ sard hai
jaise lahū nabzoñ meñ merī jam gayā hai
merī bechainiyoñ kā aisā aalam hai ke bas taubā
ilāhī rahm bhī kar ab
ilāhī rahm bhī kar
mujhe bhūlā huā ik shaḳhs phir yaad aa rahā hai
mujhe bhūlā huā ik shaḳhs phir yaad aa rahā hai
ilahi
rahm kar mujh par
mere sine mein phir se dard uThta hai
sulagta hai alaw ki tarah
meri palkon se kuchh ummiden aansu ban ke yun jhaDti hain jaise sukhe patte shaKH se jhaDte hain patjhaD mein
mere ehsas aur jazbaat bachchon ki tarah rote bilakte hain
mere TuTe hue sapne
nigahon mein yun chubhte hain ke jaise kanch chubhta hai
mere arman meri aahon ki surat le ke
is dil se nikalte hain
meri kuchh KHwahishen ab bhi machalti hain taDapti hai mere dil mein ke jaise machhliyan pani se bahar aa gai hon
tanaffus ka amal lagta hai yun jaise
ke meri ruh par koDe koi barsa raha hai
badan yun sard hai
jaise lahu nabzon mein meri jam gaya hai
meri bechainiyon ka aisa aalam hai ke bas tauba
ilahi rahm bhi kar ab
ilahi rahm bhi kar
mujhe bhula hua ek shaKHs phir yaad aa raha hai
mujhe bhula hua ek shaKHs phir yaad aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.