ilham
jaise palkoñ pe utartā huā ik ḳhvāb-e-hasīñ
ik machaltā huā hoñToñ pe ho misra' jaise
ik ġhazal sūrat-e-ilhām utartī jaa.e
jaise paanī meñ utartā huā ik
chāñd kā 'aks
ik musavvir kā banāyā huā shahkār-e-hasīñ
yā samundar meñ utartā huā sūraj ho kahīñ
yā gulāboñ kī bikhartī ho fazā meñ ḳhushbū
lamha-e-shukr meñ nikle hoñ ḳhushī ke aañsū
magar in sab se kahīñ baḌh ke
hasīñ ek ḳhayāl
dil pe utrā hai to ehsās meñ
shiddat jaagī
zindagī le ke ka.ī rang suḳhan-zār huī
qāfiya le ke ġhazal dil pe numūdār huī
is se baḌh kar bhalā duniyā meñ
hasīñ kyā hogā
'ishq jab sūrat-e-ilhām utartā
jaa.e
jaise palkon pe utarta hua ek KHwab-e-hasin
ek machalta hua honTon pe ho misra' jaise
ek ghazal surat-e-ilham utarti jae
jaise pani mein utarta hua ek
chand ka 'aks
ek musawwir ka banaya hua shahkar-e-hasin
ya samundar mein utarta hua suraj ho kahin
ya gulabon ki bikharti ho faza mein KHushbu
lamha-e-shukr mein nikle hon KHushi ke aansu
magar in sab se kahin baDh ke
hasin ek KHayal
dil pe utra hai to ehsas mein
shiddat jagi
zindagi le ke kai rang suKHan-zar hui
qafiya le ke ghazal dil pe numudar hui
is se baDh kar bhala duniya mein
hasin kya hoga
'ishq jab surat-e-ilham utarta
jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.