ilm
hai zabāñ par sab kī mid.hat ilm kī
kyoñ na ho dil meñ mohabbat ilm kī
kyoñ na ho har ik ko chāhat ilm kī
har kisī ko hai zarūrat ilm kī
ilm ke rutbe se vāqif hai jahāñ
goshe goshe meñ hai shohrat ilm kī
jis ko chaskā lag gayā hai ilm kā
pūchhiye us se haqīqat ilm kī
bas usī ne paa.ī izzat mulk meñ
dil se kī hai jis ne ḳhidmat ilm kī
saare duniyā kā chahītā hai ye ilm
rahtī hai har dil meñ ulfat ilm kī
vo zalīl-o-ḳhvār duniyā meñ huā
jis kisī ne kī na izzat ilm kī
do jahāñ kī us ko ne.amat mil ga.ī
ho ga.ī jis par ināyat ilm kī
surḳh-rū hotā hai vo ik din zarūr
rahtī hai jis dil ko chāhat ilm kī
taḳht-e-shāhī kyā hai miltā hai ḳhudā
is se baḌh kar kyā ho barakat ilm kī
kyoñ kisī ke aage vo phailā.e haath
haath aa.ī jis ke daulat ilm kī
hai ye kunjī aish aur ārām kī
kyā batā.ūñ qadr-o-qīmat ilm kī
saarī duniyā pā rahī hai jis se faiz
hai haqīqat meñ vo daulat ilm kī
jaan se is ko samajhte haiñ aziiz
jin pe raushan hai haqīqat ilm kī
ho vo bachcha yā ho būḌhā yā javān
har kisī ko hai zarūrat ilm kī
jaao 'jauhar' har kahīñ be-ḳhauf tum
koī lūTegā na daulat ilm kī
hai zaban par sab ki midhat ilm ki
kyon na ho dil mein mohabbat ilm ki
kyon na ho har ek ko chahat ilm ki
har kisi ko hai zarurat ilm ki
ilm ke rutbe se waqif hai jahan
goshe goshe mein hai shohrat ilm ki
jis ko chaska lag gaya hai ilm ka
puchhiye us se haqiqat ilm ki
bas usi ne pai izzat mulk mein
dil se ki hai jis ne KHidmat ilm ki
sare duniya ka chahita hai ye ilm
rahti hai har dil mein ulfat ilm ki
wo zalil-o-KHwar duniya mein hua
jis kisi ne ki na izzat ilm ki
do jahan ki us ko neamat mil gai
ho gai jis par inayat ilm ki
surKH-ru hota hai wo ek din zarur
rahti hai jis dil ko chahat ilm ki
taKHt-e-shahi kya hai milta hai KHuda
is se baDh kar kya ho barakat ilm ki
kyon kisi ke aage wo phailae hath
hath aai jis ke daulat ilm ki
hai ye kunji aish aur aaram ki
kya bataun qadr-o-qimat ilm ki
sari duniya pa rahi hai jis se faiz
hai haqiqat mein wo daulat ilm ki
jaan se is ko samajhte hain aziz
jin pe raushan hai haqiqat ilm ki
ho wo bachcha ya ho buDha ya jawan
har kisi ko hai zarurat ilm ki
jao 'jauhar' har kahin be-KHauf tum
koi luTega na daulat ilm ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.