Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilm

MORE BYBasant Lakhnavi

    ilm vus.at koī bhī sirā hotā nahīñ

    ilm kashtī koī nāḳhudā hotā nahīñ

    ilm vāloñ ko muqaddar se gila hotā nahīñ

    ilm vāloñ koī bhī juz ḳhudā hotā nahīñ

    ilm hai to dar-haqīqat aadmī hai aadmī

    ilm hai to us duniyā meñ rahegī raushnī

    ilm vo shai hai jise koī churā saktā nahīñ

    chhīnñā chāhe ise koī to saktā nahīñ

    ilm hai to zindagī koī dikhā saktā nahīñ

    ilm hai to aadmī dozaḳh meñ saktā nahīñ

    ilm se ab jihālat ko miTāyā jā.egā

    ilm se āzād hindostāñ banāyā jā.egā

    ilm duniyā-e-jahālat meñ hai laatā inqalāb

    ilm chamkātā hai zarroñ ko banā kar māhtāb

    ilm se aalam ruḳh jaise shagufta ho gulāb

    ilm se duur hotā hai hamesha pech-o-tāb

    ilm raushan kartā hai tārīkiyoñ ko is tarah

    rāsta batlā.e bijlī bādaloñ meñ jis tarah

    jis kisī ne liyā hai ilm rangīn baaġh

    jis kisī ne ilm rāhoñ paayā hai surāġh

    mustaqil us ke irāde us raushan hai dimāġh

    āñdhiyāñ bhī ab bujhā saktī nahīñ us charāġh

    azmat-e-ilm-o-hunar se baḌh ke koī shai nahīñ

    qadr-o-qīmat ahl-e-fan har jagah hai har kahīñ

    ilm ki wusat ka koi bhi sira hota nahin

    ilm ki kashti ka koi naKHuda hota nahin

    ilm walon ko muqaddar se gila hota nahin

    ilm walon ka koi bhi juz KHuda hota nahin

    ilm hai to dar-haqiqat aadmi hai aadmi

    ilm hai to us ki duniya mein rahegi raushni

    ilm wo shai hai jise koi chura sakta nahin

    chhinna chahe ise koi to pa sakta nahin

    ilm hai to zindagi koi dikha sakta nahin

    ilm hai to aadmi dozaKH mein ja sakta nahin

    ilm hi se ab jihaalat ko miTaya jaega

    ilm se aazad hindostan banaya jaega

    ilm duniya-e-jahaalat mein hai lata inqalab

    ilm chamkata hai zarron ko bana kar mahtab

    ilm se aalam ka ruKH jaise shagufta ho gulab

    ilm hi se dur hota hai hamesha pech-o-tab

    ilm raushan karta hai tarikiyon ko is tarah

    rasta batlae bijli baadalon mein jis tarah

    jis kisi ne pa liya hai ilm ka rangin bagh

    jis kisi ne ilm ki rahon ka paya hai suragh

    mustaqil us ke irade us ka raushan hai dimagh

    aandhiyan bhi ab bujha sakti nahin us ka charagh

    azmat-e-ilm-o-hunar se baDh ke koi shai nahin

    qadr-o-qimat ahl-e-fan ki har jagah hai har kahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now