ilm
jahālat kī tārīkiyoñ ko miTāyā
haqīqat ke jalvoñ kā dariyā bahāyā
dimāġhoñ pe ḳhush-kaifiyāñ ban ke chhāyā
nigāhoñ meñ bedāriyāñ ban ke aaya
tafakkur ko mānūs-e-irfāñ banāyā
ta.aqqul meñ fānūs-e-īmāñ jalāyā
tajassus kī bā-rangiyoñ par rijhāyā
taraddud kī be-rangiyoñ se chhuḌāyā
masā.ib meñ rote huoñ ko hañsāyā
marātib meñ sote huoñ ko jagāyā
jahāñ pastiyoñ kī taraf qalb aaya
vahīñ pastiyoñ se ubharnā sikhāyā
jahāñ aas TuuTī qadam Dagmagāyā
vahīñ haath thāmā sahārā dilāyā
mohabbat se aapas meñ rahnā sikhāyā
hamesha na miTne kā sheva batāyā
taraqqī kī rāhoñ meñ aage baḌhāyā
tamaddun kī duniyā meñ yaktā banāyā
nasheb-o-farāz-e-zamāna batāyā
chaleñ jis taraf kī havā.eñ chalāyā
'sahar' ilm ne ham ko insāñ banāyā
nahīñ ko ġharaz ilm ne haañ banāyā
jahaalat ki tarikiyon ko miTaya
haqiqat ke jalwon ka dariya bahaya
dimaghon pe KHush-kaifiyan ban ke chhaya
nigahon mein bedariyan ban ke aaya
tafakkur ko manus-e-irfan banaya
taqqul mein fanus-e-iman jalaya
tajassus ki ba-rangiyon par rijhaya
taraddud ki be-rangiyon se chhuDaya
masaib mein rote huon ko hansaya
maraatib mein sote huon ko jagaya
jahan pastiyon ki taraf qalb aaya
wahin pastiyon se ubharna sikhaya
jahan aas TuTi qadam Dagmagaya
wahin hath thama sahaara dilaya
mohabbat se aapas mein rahna sikhaya
hamesha na miTne ka shewa bataya
taraqqi ki rahon mein aage baDhaya
tamaddun ki duniya mein yakta banaya
nasheb-o-faraaz-e-zamana bataya
chalen jis taraf ki hawaen chalaya
'sahar' ilm ne hum ko insan banaya
nahin ko gharaz ilm ne han banaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.