ilm
Interesting Fact
In 1958, the Association of Progressive Writers (Bombay) presented Daud Ghazi with the first prize for this poem in a literary competition.
kaun jaane ki ye ḳhurshīd hai nā-ḳhūb ki ḳhuub
chāñd achchhā ki burā kaun batā saktā hai
ḳhush ki nā-ḳhush haiñ ye sham.eñ ye sitāre ye shafaq
kaun ye parda-e-asrār uThā saktā hai
haañ ye mumkin hai shuā.eñ hoñ zarar kā baa.is
kaun kahtā hai ujāloñ se karo kasb-e-ziyāñ
raushnī aag se niklī hai jalā saktī hai
baat itnī bhī samajh sakte nahīñ ham insāñ
ilm mazdūr ko fankār banā detā hai
ilm mansūr ko hoshiyār banā detā hai
ilm alfāz ko talvār banā detā hai
ilm tinke ko bhī patvār banā detā hai
paañv ke chhāle ko rahvār banā detā hai
ik tahī-dast ko sālār banā detā hai
raushnī gul na karo raat abhī baaqī hai
ziist samjhī nahīñ jo baat abhī baaqī hai
ḳhvāhish-e-chashma-e-zulmāt abhī baaqī hai
pa.e naisāñ ho jo barsāt abhī baaqī hai
ilm ek nuur hai ye nuur bikhar jaane do
sub.h-e-irfāñ ko zarā aur nikhar jaane do
rāh-e-hastī ke ḳham-o-pech sañvar jaane do
kaun jaane ki ye KHurshid hai na-KHub ki KHub
chand achchha ki bura kaun bata sakta hai
KHush ki na-KHush hain ye shamen ye sitare ye shafaq
kaun ye parda-e-asrar uTha sakta hai
han ye mumkin hai shuaen hon zarar ka bais
kaun kahta hai ujalon se karo kasb-e-ziyan
raushni aag se nikli hai jala sakti hai
baat itni bhi samajh sakte nahin hum insan
ilm mazdur ko fankar bana deta hai
ilm mansur ko hoshiyar bana deta hai
ilm alfaz ko talwar bana deta hai
ilm tinke ko bhi patwar bana deta hai
panw ke chhaale ko rahwar bana deta hai
ek tahi-dast ko salar bana deta hai
raushni gul na karo raat abhi baqi hai
zist samjhi nahin jo baat abhi baqi hai
KHwahish-e-chashma-e-zulmat abhi baqi hai
pae naisan ho jo barsat abhi baqi hai
ilm ek nur hai ye nur bikhar jaane do
subh-e-irfan ko zara aur nikhar jaane do
rah-e-hasti ke KHam-o-pech sanwar jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.