ilm-o-adab
ilm-o-adab ko sīkho bachcho
ilm kī kyārī sīñcho bachcho
jis ko hai hāsil ilm kī daulat
kyoñ na ho us kī har-jā izzat
ilm se adnā bhī ho a.alā
zarra bhī ho jaa.e parbat
ilm-o-adab ko sīkho bachcho
ilm kī kyārī sīñcho bachcho
ilm na ho bekār hai jīvan
ilm hai har insān kā darpan
ḳhalq hai motī ilm sadaf hai
ilm-o-adab se jag hai raushan
ilm-o-adab ko sīkho bachcho
ilm kī kyārī sīñcho bachcho
ilm kī hai kyā shaan nirālī
duur ho us se ḳhām-ḳhayālī
dekh 'samī.a' bāġhoñ meñ jā kar
paḌhtī haiñ chiḌiyāñ Daalī Daalī
ilm-o-adab ko sīkho bachcho
ilm kī kyārī sīñcho bachcho
ilm-o-adab ko sikho bachcho
ilm ki kyari sincho bachcho
jis ko hai hasil ilm ki daulat
kyon na ho us ki har-ja izzat
ilm se adna bhi ho aala
zarra bhi ho jae parbat
ilm-o-adab ko sikho bachcho
ilm ki kyari sincho bachcho
ilm na ho bekar hai jiwan
ilm hai har insan ka darpan
KHalq hai moti ilm sadaf hai
ilm-o-adab se jag hai raushan
ilm-o-adab ko sikho bachcho
ilm ki kyari sincho bachcho
ilm ki hai kya shan nirali
dur ho us se KHam-KHayali
dekh 'samia' baghon mein ja kar
paDhti hain chiDiyan Dali Dali
ilm-o-adab ko sikho bachcho
ilm ki kyari sincho bachcho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.