ilm
sar-e-sāhil khaḌā huuñ fikr meñ gum huuñ
samundar kitnā gahrā hai
nigāh-e-justujū zehn-e-rasā majbūr aur aajiz
lab-e-tahqīq bhī gum-sum
nigāh-e-vus.at-e-fikr-o-nazar harf-e-basīrat kā ahāta kar nahīñ paatī
shu.ūr-o-fahm ke saa.e jhulas jaate haiñ rāhoñ meñ
tajassus jis qadar gahrā utartā hai
vajūd-e-tishnagī kuchh aur gahrā hotā jaatā hai
azal se nuqta-e-avval hamāre karb kā shāyad
shanāvar to ka.ī aa.e
chhuā har ek qatre ko
magar koī sadāqat ban ke gahrā.ī se kab ubhrā
ye ik mauj-e-pareshāñ hai ki andhī pyaas raushan hai
bikhartā dard TuuTī umr kā har āḳhirī lamha
isī ġham meñ guzartā hai
ki kitnī kaT chukī hai kitnī baaqī hai
ba-īñ kāvish
abhī tak jhaag hai dast-e-tajassus meñ
sadaf to tah meñ milte haiñ
magar ye tah kahāñ par hai
sar-e-sāhil khaḌā huuñ fikr meñ gum huuñ
sar-e-sahil khaDa hun fikr mein gum hun
samundar kitna gahra hai
nigah-e-justuju zehn-e-rasa majbur aur aajiz
lab-e-tahqiq bhi gum-sum
nigah-e-wusat-e-fikr-o-nazar harf-e-basirat ka ahata kar nahin pati
shuur-o-fahm ke sae jhulas jate hain rahon mein
tajassus jis qadar gahra utarta hai
wajud-e-tishnagi kuchh aur gahra hota jata hai
azal se nuqta-e-awwal hamare karb ka shayad
shanawar to kai aae
chhua har ek qatre ko
magar koi sadaqat ban ke gahrai se kab ubhra
ye ek mauj-e-pareshan hai ki andhi pyas raushan hai
bikharta dard TuTi umr ka har aaKHiri lamha
isi gham mein guzarta hai
ki kitni kaT chuki hai kitni baqi hai
ba-in kawish
abhi tak jhag hai dast-e-tajassus mein
sadaf to tah mein milte hain
magar ye tah kahan par hai
sar-e-sahil khaDa hun fikr mein gum hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.