immigrants
ye zard patte
tunuk havāoñ kī zad maiñ aa kar
jahāñ meñ har-sū bikhar ga.e haiñ
kabhī ye zīnat the sabz shāḳhoñ kī
lū ke mausam ke ḳhauf se ye chaman se apne nikal paḌe the
talāsh meñ jāñ-fazā zamānoñ kī
mausamoñ kī
unheñ kahāñ ye ḳhabar thī
jo koī shāḳh se apnī TūTtā hai
vo lā-vatan hai vo be-zamīñ hai
havā ke railoñ meñ
ḳhaak dar-dar kī chhāntā hai
ye zard patte
tunuk hawaon ki zad main aa kar
jahan mein har-su bikhar gae hain
kabhi ye zinat the sabz shaKHon ki
lu ke mausam ke KHauf se ye chaman se apne nikal paDe the
talash mein jaan-faza zamanon ki
mausamon ki
unhen kahan ye KHabar thi
jo koi shaKH se apni TuTta hai
wo la-watan hai wo be-zamin hai
hawa ke railon mein
KHak dar-dar ki chhanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.