na-jāne kaun sī manzil pe apne pair so.eñge
na-jāne kin jazīroñ par hamāre phuul khilne haiñ
kabhī to in jabīnoñ par
kisī ne bosa denā hai
hamāre zaḳhm silne haiñ
shikasta dil kahāñ jaa.eñ
du'ā māñgeñ
du'ā.eñ bhī faqat lafzoñ kī varzish ke sivā kyā haiñ
sabhī ikke hamāre paas haiñ par jiit us kī hai
hamāre hāfize meñ aaj bhī vo vaqt taaza hai
kisī ne niiñd kī vaadī meñ 'uryānī bikherī thī
'ajā.ib-ghar kī sīḌhī par
koī ainak utāre ro rahā hai
guzre vaqtoñ par
magar mehñdī lage hāthoñ ko is se kyā ġharaz hogī
kivāḌoñ par jamī kaa.ī kisī kī dastakoñ se saaf honī hai
nahīñ mā'lūm kitne din hamārī raat honī hai
traffic warden se pūchhnā qisse hasīnoñ ke
jo jhurmuT meñ guzartī haiñ
dilāse dil ke locker meñ chhupā.e hañstī rahtī haiñ
kisī dukh kī agar vo chābiyāñ dekheñ to Dar jaa.eñ
hameñ tanhā.ī khātī hai
hameñ koī nahīñ suntā
hameñ bhī baat aatī hai
ka.ī message hamāre note paiDoñ meñ
paḌe bosīdgī kī shāḳh par jhūleñ
magar kab tak
na-jaane kaun si manzil pe apne pair soenge
na-jaane kin jaziron par hamare phul khilne hain
kabhi to in jabinon par
kisi ne bosa dena hai
hamare zaKHm silne hain
shikasta dil kahan jaen
du'a mangen
du'aen bhi faqat lafzon ki warzish ke siwa kya hain
sabhi ikke hamare pas hain par jit us ki hai
hamare hafize mein aaj bhi wo waqt taza hai
kisi ne nind ki wadi mein 'uryani bikheri thi
'ajaib-ghar ki siDhi par
koi ainak utare ro raha hai
guzre waqton par
magar mehndi lage hathon ko is se kya gharaz hogi
kiwaDon par jami kai kisi ki dastakon se saf honi hai
nahin ma'lum kitne din hamari raat honi hai
traffic warden se puchhna qisse hasinon ke
jo jhurmuT mein guzarti hain
dilase dil ke locker mein chhupae hansti rahti hain
kisi dukh ki agar wo chabiyan dekhen to Dar jaen
hamein tanhai khati hai
hamein koi nahin sunta
hamein bhi baat aati hai
kai message hamare note paiDon mein
paDe bosidgi ki shaKH par jhulen
magar kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.