infijar
aaj vo hādisa phir huā
saarī āvāra gumrāhiyāñ
yak-ba-yak us pe aa paḌīñ
bojh sā bojh thā
laḌkhaḌāte qadam aur karāheñ
sañbhalne kī koshish
phir ik chīḳh
bachcha
laḌkhaḌāte qadam aur karāheñ
sañbhalne kī koshish
bahut bhiiḌ thī
ik tamāshā huā
kaan par juuñ na reñgī kisī ke
bojh se jism mānūs ho jā.egā
ek āvāz kī guuñj
lekin
chaTaḳhtī huī haDDiyāñ
ḳhūn-ālūda ghuTne
vo sab hādse is se pahle ke sab hādse
āḳhirī hādisa
kyā yahī hādisa thā
aaj wo hadisa phir hua
sari aawara gumrahiyan
yak-ba-yak us pe aa paDin
bojh sa bojh tha
laDkhaDate qadam aur karahen
sanbhalne ki koshish
phir ek chiKH
bachcha
laDkhaDate qadam aur karahen
sanbhalne ki koshish
bahut bhiD thi
ek tamasha hua
kan par jun na rengi kisi ke
bojh se jism manus ho jaega
ek aawaz ki gunj
lekin
chaTaKHti hui haDDiyan
KHun-aluda ghuTne
wo sab hadse is se pahle ke sab hadse
aaKHiri hadisa
kya yahi hadisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.