infiradiyat
auroñ se alag duniyā se judā
yaktā-e-zamāna huuñ goyā
aap apnī ḳhudī kā maz.har huuñ
naqqāsh-e-azal kā shah-pāra
jis soch meñ Duubī rahtī huuñ
sab log use kyā jāneñ
ġham aur ḳhushī kā paimāna
auroñ se hai yaksar begāna
kuchh rañg mire mahbūb-e-nazar
kuchh sher mire taskīn-e-jigar
kuchh raag haiñ aise
jo ruuh ke barbat par bajte haiñ
ḳhvāboñ ke larazte saa.e haiñ
jazboñ ke dahakte añgāre
in añgāroñ kī hiddat se
ehsās kā tābish miltī hai
ehsās kī tābish merī hai
nākām irāde TuuTe armāñ
taqdīr ke hāthoñ nauha-kunāñ
ḳhvāhish ke samundar tūfānī
kashtī ko Dubo.e dete haiñ
kashtī kī tabāhī merī hai
is dard kā darmāñ merā hai
is zaḳhm kī shiddat merī hai
sunsān añdherī rātoñ meñ
tanhā.ī kī mash.al jaltī hai
sub.hoñ kī damaktī peshānī
shāhīn-e-nazar kī manzil hai
is raat kī vahshat merī hai
is sub.h kī qurbat merī hai
vijdān-e-ḳhudī ke yaktāre par
har tarz na.ī har raag judā
mujh sā is duniyā meñ
koī bhī nahīñ hai mere sivā
is soch kī lazzat merī hai
auron se alag duniya se juda
yakta-e-zamana hun goya
aap apni KHudi ka mazhar hun
naqqash-e-azal ka shah-para
jis soch mein Dubi rahti hun
sab log use kya jaanen
gham aur KHushi ka paimana
auron se hai yaksar begana
kuchh rang mere mahbub-e-nazar
kuchh sher mere taskin-e-jigar
kuchh rag hain aise
jo ruh ke barbat par bajte hain
KHwabon ke larazte sae hain
jazbon ke dahakte angare
in angaron ki hiddat se
ehsas ka tabish milti hai
ehsas ki tabish meri hai
nakaam irade TuTe arman
taqdir ke hathon nauha-kunan
KHwahish ke samundar tufani
kashti ko Duboe dete hain
kashti ki tabahi meri hai
is dard ka darman mera hai
is zaKHm ki shiddat meri hai
sunsan andheri raaton mein
tanhai ki mashal jalti hai
subhon ki damakti peshani
shahin-e-nazar ki manzil hai
is raat ki wahshat meri hai
is subh ki qurbat meri hai
wijdan-e-KHudi ke yaktare par
har tarz nai har rag juda
mujh sa is duniya mein
koi bhi nahin hai mere siwa
is soch ki lazzat meri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.