inhen kuchh na kaho
ab ba-zāhir haiñ ye zardār inheñ kuchh na kaho
ahd-e-hāzir pe haiñ ye baar inheñ kuchh na kaho
in kā ToTe meñ hai byopār inheñ kuchh na kaho
ye haiñ girtī huī dīvār inheñ kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau baar inheñ kuchh na kaho
aur kuchh roz haiñ mahloñ meñ charāġhāñ in ke
aur kuchh roz falak-bos haiñ aivāñ in ke
aur kuchh roz haiñ ye ūñghte darbāñ in ke
aap haiñ jaan se bezār inheñ kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau baar inheñ kuchh na kaho
pahle mash.hūr fusūñ-kār sitamgār the ye
pahle dil-soz-o-dil-āzār jafā-kār the ye
pahle majbūroñ pe chaltī huī talvār the ye
ab haiñ TuuTī huī talvār inheñ kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau baar inheñ kuchh na kaho
ġhair-mumkin ki haqīqat kī ho in se tā.īd
in se rakkho na kisī tarah vafā kī ummīd
ye haiñ añgrez se ustād ke shāgird-e-rashīd
ye haiñ shaitāñ ke parastār inheñ kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau baar inheñ kuchh na kaho
ab ḳhudā ke liye doharāo na tārīḳh-e-vatan
ab zabāñ se na bayāñ in kā karo chāl-chalan
ab na tum yaad karo qissa-e-bangāl-o-dakan
ye hamesha ke haiñ ġhaddār inheñ kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau baar inheñ kuchh na kaho
ye kisī tarah nahīñ haiñ ġham-e-fardā se barī
hone bhī do jo hai bharpūr tijorī in kī
nādirī hai kahīñ baaqī na kahīñ changezī
hai falak darpa.e-āzār inheñ kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau baar inheñ kuchh na kaho
Thiik kar degā falak in kī bhī aqloñ kā futūr
ravish-e-bazm-e-tarab in kī bhī badlegī zarūr
haiñ bhagat singh ke ahbāb kī nazroñ meñ huzūr
in ke miTne ke haiñ āsār inheñ kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau baar inheñ kuchh na kaho
in kā maqsad hai zamāne meñ faqat aish-e-davām
ye haiñ maqsad ke parastār to matlab ke ġhulām
paas jā jā ke 'hilāl' in ko karo tum na salām
duur se kar lo namaskār inheñ kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau baar inheñ kuchh na kaho
ab ba-zahir hain ye zardar inhen kuchh na kaho
ahd-e-hazir pe hain ye bar inhen kuchh na kaho
in ka ToTe mein hai byopar inhen kuchh na kaho
ye hain girti hui diwar inhen kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau bar inhen kuchh na kaho
aur kuchh roz hain mahlon mein charaghan in ke
aur kuchh roz falak-bos hain aiwan in ke
aur kuchh roz hain ye unghte darban in ke
aap hain jaan se bezar inhen kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau bar inhen kuchh na kaho
pahle mashhur fusun-kar sitamgar the ye
pahle dil-soz-o-dil-azar jafa-kar the ye
pahle majburon pe chalti hui talwar the ye
ab hain TuTi hui talwar inhen kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau bar inhen kuchh na kaho
ghair-mumkin ki haqiqat ki ho in se taid
in se rakkho na kisi tarah wafa ki ummid
ye hain angrez se ustad ke shagird-e-rashid
ye hain shaitan ke parastar inhen kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau bar inhen kuchh na kaho
ab KHuda ke liye doharao na tariKH-e-watan
ab zaban se na bayan in ka karo chaal-chalan
ab na tum yaad karo qissa-e-bangal-o-dakan
ye hamesha ke hain ghaddar inhen kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau bar inhen kuchh na kaho
ye kisi tarah nahin hain gham-e-farda se bari
hone bhi do jo hai bharpur tijori in ki
nadiri hai kahin baqi na kahin changezi
hai falak darpae-azar inhen kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau bar inhen kuchh na kaho
Thik kar dega falak in ki bhi aqlon ka futur
rawish-e-bazm-e-tarab in ki bhi badlegi zarur
hain bhagat singh ke ahbab ki nazron mein huzur
in ke miTne ke hain aasar inhen kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau bar inhen kuchh na kaho
in ka maqsad hai zamane mein faqat aish-e-dawam
ye hain maqsad ke parastar to matlab ke ghulam
pas ja ja ke 'hilal' in ko karo tum na salam
dur se kar lo namaskar inhen kuchh na kaho
kah chuke in ko to sau bar inhen kuchh na kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.