inhiraf
vaqt kī peshānī par inhirāf likh do
vaqt kuchh bhī nahīñ
ek fareb hai
jis ke ham tum taabe nahīñ
phir bhī taabe haiñ
chalo aaj se ye vaqt hamārā bhī nahīñ
tumhārā bhī nahīñ
vaqt kī peshānī par inhirāf likh do
lekin
vo zanjīr kyā kareñ
jis se vaqt kā
ek ek lamha tauq banā
chalo isī tauq se zanjīr bajāte haiñ
ki koī
sun le apnī sadā
maiñ ne paḌhī nahīñ vo hikāyat
jis kā ek baab tum ne paḌhā shāyad
maiñ nahīñ chāhtā ki vo dar band ho jaa.e
jis se sattar dar khulte haiñ
vaqt kī peshānī par
inhirāf likh do
waqt ki peshani par inhiraf likh do
waqt kuchh bhi nahin
ek fareb hai
jis ke hum tum tabe nahin
phir bhi tabe hain
chalo aaj se ye waqt hamara bhi nahin
tumhaara bhi nahin
waqt ki peshani par inhiraf likh do
lekin
wo zanjir kya karen
jis se waqt ka
ek ek lamha tauq bana
chalo isi tauq se zanjir bajate hain
ki koi
sun le apni sada
main ne paDhi nahin wo hikayat
jis ka ek bab tum ne paDha shayad
main nahin chahta ki wo dar band ho jae
jis se sattar dar khulte hain
waqt ki peshani par
inhiraf likh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.