inkar ki nauiyat
ḳhabar kī nau'iyat se kaan garm hue jaate haiñ
shahr-dar-shahr kūḌā-dān
ġhalīz gāliyoñ se bhar chuke haiñ
tahzīb ke gul-tarāsh apnā ek haath havā meñ
aur ek haath ūñchī shalvār ke naaḌe pe rakkhe hue
chauk chauk
maut thuuk rahe haiñ
ḳhabar kā ḳhulāsa
abhī añgrezī meñ hai
lekin
ye bhaap chhoḌte sabz-o-safed-o-surma.ī o mashriqī purze
barābar se shor kiye jaate haiñ
safed shīshoñ vaalī 'ainakoñ ke biich
ye siyāh shīshoñ vaalī ainak
kyoñ maqām rakkhe jaatī hai
hālāñki nazar donoñ kī kamzor hai
ḳhair ye modern daur hai
ḳhabar kā ḳhulāsa
abhī añgrezī meñ hai
latīf kabāḌiye kī beTī ne inkār kar diyā hai ki
abhī merā mausam nahīñ aayā
ḳhabar kī nau'iyat se kaan garam hue jaate haiñ
KHabar ki nau'iyat se kan garm hue jate hain
shahr-dar-shahr kuDa-dan
ghaliz galiyon se bhar chuke hain
tahzib ke gul-tarash apna ek hath hawa mein
aur ek hath unchi shalwar ke naDe pe rakkhe hue
chauk chauk
maut thuk rahe hain
KHabar ka KHulasa
abhi angrezi mein hai
lekin
ye bhap chhoDte sabz-o-safed-o-surmai o mashriqi purze
barabar se shor kiye jate hain
safed shishon wali 'ainakon ke bich
ye siyah shishon wali ainak
kyon maqam rakkhe jati hai
haalanki nazar donon ki kamzor hai
KHair ye modern daur hai
KHabar ka KHulasa
abhi angrezi mein hai
latif kabaDiye ki beTi ne inkar kar diya hai ki
abhi mera mausam nahin aaya
KHabar ki nau'iyat se kan garam hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.