insaf
maiñ ne kuchh bolne kī koshish kī to
mujhe ik kaTahrā farāham kar diyā gayā
maiñ gavāh huuñ
lekin chashm-dīd nahīñ
muqaddas kitāb par haath rakh kar qasam khaao
jo bhī kahūñgī sach kahūñgī
sach ke sivā kuchh bhī nahīñ
maiñ ne qasam khaa.ī
aur gavāhī dī
merī halākat chashm-dīd na thī
so qātil aaj bhī ghūmtā hai āzādāna
magar maiñ qaid huuñ
jhūTī gavāhī ke ilzām meñ
ab bhī
main ne kuchh bolne ki koshish ki to
mujhe ek kaTahra faraham kar diya gaya
main gawah hun
lekin chashm-did nahin
muqaddas kitab par hath rakh kar qasam khao
jo bhi kahungi sach kahungi
sach ke siwa kuchh bhi nahin
main ne qasam khai
aur gawahi di
meri halakat chashm-did na thi
so qatil aaj bhi ghumta hai aazadana
magar main qaid hun
jhuTi gawahi ke ilzam mein
ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.