insan
zarra-e-tārīk mehr-e-zau-fishāñ hone ko hai
qatra-e-nāchīz bahr-e-bekarāñ hone ko hai
juzv kul karte haiñ apnī quvvateñ nazr-e-bashar
banda-e-majbūr muḳhtār-e-jahāñ hone ko hai
ye zamīñ thiiñ zillat-e-āfāq jis kī pastiyāñ
rif.atoñ meñ rū-kash-e-haft-āsmāñ hone ko hai
nusḳha-e-ījād-e-ālam pā na le insāñ kahīñ
āshkāra fitrat-e-kaun-o-makāñ hone ko hai
barq-o-ātish se huā barbād jis kā ḳhānumāñ
ab vo āgāh-e-naved-e-bazm-e-jāñ hone ko hai
maut ke sāmāñ kī paiham justujū jis ko rahī
rāz-e-hastī us kī mahfil meñ ayaañ hone ko hai
ibn-e-ādam ya.anī ye parvarda-e-jaur-e-falak
shāyad ab is par mashiyyat mehrbāñ hone ko hai
bebas aur bechāra thā gahvāra-e-taqdīr meñ
lekin ab ye kaudak-e-nādāñ javāñ hone ko hai
zarra-e-tārīk mehr-e-zau-fishāñ hone ko hai
qatra-e-nāchīz bahr-e-be-karāñ hone ko hai
zarra-e-tarik mehr-e-zau-fishan hone ko hai
qatra-e-nachiz bahr-e-bekaran hone ko hai
juzw kul karte hain apni quwwaten nazr-e-bashar
banda-e-majbur muKHtar-e-jahan hone ko hai
ye zamin thin zillat-e-afaq jis ki pastiyan
rifaton mein ru-kash-e-haft-asman hone ko hai
nusKHa-e-ijad-e-alam pa na le insan kahin
aashkara fitrat-e-kaun-o-makan hone ko hai
barq-o-atish se hua barbaad jis ka KHanuman
ab wo aagah-e-nawed-e-bazm-e-jaan hone ko hai
maut ke saman ki paiham justuju jis ko rahi
raaz-e-hasti us ki mahfil mein ayan hone ko hai
ibn-e-adam yani ye parwarda-e-jaur-e-falak
shayad ab is par mashiyyat mehrban hone ko hai
bebas aur bechaara tha gahwara-e-taqdir mein
lekin ab ye kaudak-e-nadan jawan hone ko hai
zarra-e-tarik mehr-e-zau-fishan hone ko hai
qatra-e-nachiz bahr-e-be-karan hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.