intiha mohabbat ki dekhna jo chaho to
mauj lete sāhil par
yā kisī vīrāne meñ
shaam ke dhuñdalke meñ
tez chaḌhtī sāñsoñ meñ
intihā mohabbat kī dekhnā jo chāho to
din nikalte lamhoñ meñ
nange pair chalte tum
aao aise sahrā meñ
jis meñ muḳhtalif rañgoñ
muḳhtalif qabīloñ ke Dher saare panchhī hoñ
un kī boliyoñ par phir ġhaur se tavajjoh do
ye chahakte panchhī sab
apnī apnī bolī meñ
bāt-chīt karte haiñ
apne dukh sabhī mil ke
kaise baañT lete haiñ
us se zyāda aur kuchh tum
dekhnā jo chāho to
intihā mohabbat kī dekhnā jo chāho to
sāhil-e-samundar par
zard ret ke andar
panpe vo sabhī paude
kis tarah ye palte haiñ
kis tarah ubharte haiñ
kaise ret ke nīche
paanī un ko miltā hai
intihā mohabbat kī us jagah pe miltī hai
ham aziim logoñ meñ falsafa mohabbat kā
sirf sochā jaatā hai sirf likkhā jaatā hai
mauj lete sahil par
ya kisi virane mein
sham ke dhundalke mein
tez chaDhti sanson mein
intiha mohabbat ki dekhna jo chaho to
din nikalte lamhon mein
nange pair chalte tum
aao aise sahra mein
jis mein muKHtalif rangon
muKHtalif qabilon ke Dher sare panchhi hon
un ki boliyon par phir ghaur se tawajjoh do
ye chahakte panchhi sab
apni apni boli mein
baat-chit karte hain
apne dukh sabhi mil ke
kaise banT lete hain
us se zyaada aur kuchh tum
dekhna jo chaho to
intiha mohabbat ki dekhna jo chaho to
sahil-e-samundar par
zard ret ke andar
panpe wo sabhi paude
kis tarah ye palte hain
kis tarah ubharte hain
kaise ret ke niche
pani un ko milta hai
intiha mohabbat ki us jagah pe milti hai
hum azim logon mein falsafa mohabbat ka
sirf socha jata hai sirf likkha jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.